Bewafai Se Pereshan B Ho Jate Hain
Naram Jhonkay Kabhi Tofan B Ho jate Hain
Humne Mehboob Jo Badla To Taujab Kesa
Log Kafir Se Musalman Bhi To Ho Jate Hain
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Garm-e-Hasrat Nakaam se Jal Jatay Hain,
Hum Chiragho ki tarah Shaam se Jal Jatay Hain,
Shama Jis Aag me Jalti hai Nimiash k liye,
Hum usi Aag me Gum-Naam se Jal Jatay Hain........