Apko dil se salaam

Apko dil se salaam
Apko dil se salaam karte hain,

subah ka har lamha apke naam karte hain.

Ye aur baat hai ki aap se thoda door hain hum,

magar yad to subah sham karte hain.
  

Jun, 04 2010     164 chars (2 sms)     8178 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aap Ko Chaah Kar Kuch Na Chaaha Kabhi,


Meri Chaahat Ka Kuch To Silaa Dijiye,


Phool Murjhaa Gaye Aap Ki Chaah Mein,


Muskura Kar Unhein Phir Khilaa Dijiye.
Sunoo!!!

mujhy dukh es baat ka nahi
k
meri zaat ko muntashir karne wale haath
tery thy.........

mujhy dukh faqat es baat ka hai
meri reza reza zaat ko samaitny waly haath
teray nahi thay......
Tere na hony se !!
Shayed.....
Zindgi to kut jaye gi
Haaan.....
Tukron main but jaye gi !!
Chehre pe khushi chah jati hai

Aankhon mein suroor aajata hai

Jab tum MuJhe apna kehte Ho

Apne pe guroor Aajata hai
Samjha do apni yadon ko
wo bin bulaye pas aaya karti hain

aap to door reh kar satate ho magar
wo pas aakar aksar rulaya karti hain
Ab mujhe aayaa samajh gham hai mera unki khushi
Muskuraa kar ham tabhi phir Zakhm khane aa gaye

Laakh chaaha hamne rukh yaado se teri modana
Phir bite berah’m lamhe dil dukhaane aa gayee
Purani jeans aur guitar …… Mohalle ki vo chhat …. Aur mere yaar
Vo raaton ko jaagna … Subah ghar jaan … Kood ke deewar
Vo cigaretee peena … Gali mein jaake .. Wo karna daanton ko
Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college hamesha late ….Vo kehna sir ka “Get out from the class!”
Vo bahar jaake hamsha kehna …Yahan ka system …Hi hai kharaab
Khusi meri cheen lee usne,
Muskurane bhula diya..
Gam de diya mujhe,
Zindgi bhar rulane ke liye.
yaad ker k wo mare payar ko rota ho ga.
chand jub mare angan mai uterta ho ga.
yonhi murja gaye hon ge mahkte gajre.
jaane wala lout ker na aya ho ga.
jo naam leta tha mera douaon ki terha.
sochta hon kis terha bhola ho ga.
chand her gahar main ho ga mager es k sabab.
hans perda ho ga koi ro perda ho ga.
jub mare hath thy roti hovi num ankhon per.
us ne jate howe murd ker dekha ho ga.
Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega

Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega

Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega

Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega
Yaad Na Karo Gi To Sataoun Ga
Rootho Gi To Manaoun Ga
Ro Gi To Hasaoun Ga
Dost Hoon Mein Tumhara Saaya Nahin
Jo Andhere Mein Saath Chor Jaoun Ga
Tumharay saath rehna hai
Mujhe har waar sehna hai

Mujhe ashkoon ki surat main
Teri ankoon say behna hai

Tumharay hussan par janan!
Udasi bhi tu gehna hai

Yehi tu Juram hai apna
kay hum nay pyar pehna hai

Chalo ab bey rukhi choro
Humain aik saath rehna hai

Hay mera katam afsana!
Tumhin kuch aur kehna hai?