usey apney farda ki

usey apney farda ki
usey apney farda ki fikar thi,
wo jo mera waqif-e-haal tha

wohi us ki subhey urooj thi,
wohi mera waqte zawal tha

kahan jao gey mujhy chor k,
main ye pouch,pouch k thak gaya

wo jawab na mujh ko dey saka,
wo tou khoud sarapa-e-sawal tha

usey meri chup ney rula dia,
jise guftogu main kamal tha
  

Jun, 04 2010     310 chars (2 sms)     2115 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

abi justaju me hoon uski,to ehsas nahi us ko.

ro ro k pukary ga humein zara mar to jany do,,,,!
Dard Uthtay hain magar Aah nahi karty,
Kon kahta hai Hum Wafa nahi karty,
Aakhir kyun nahi Badalti Taqdeer Hamari,
Kya Aap bhi Hamary Haq me Dua nahi krte.
Raat Ki Rani Hy, Ya
Teri Yaado''n Ki
Khushbuu

Kuch Tou Hy, Jo
Aangan Mere Ehsaas
Ka Mehka Deta Hy !!!
Waqt Khush Khush Kaat-nay Ka Mashwra Daitey Huay,

Ro Para Wo Aap Mujh Ko Hosla Daitey Huay,

Be Gunahi Ki Saza Pe Mujh Ko To Rona Hi Tha,

Tum To Palken Ponch Laitey Faisla Daitey Huway,

Waqt e Rukhsat Un Ka Bhi Rumal Tha Bheega Hua,

Ro Paray Thay Hum Bhi Un Ko Raasta Daitay Huway!!
Tuje khone ka hosla nahe muj ma jana

mre haq ma dua kerna

k

tg c bicherne c phlay bs 1 sans ka rishta toot jaye…!
Vo rulaa kr hans na paayaa der tak,
Jab main ro kar muskuraya der tak

Bhulana chaha agr us ko kbhi,
Aur bhi vo yad aayaa der tak

Bhuukhe bachchon ki tasalli k liye,
Maan ne phir paani pakaayaa der tak

Gun_gunata ja raha tha ik faqiir
Dhup rahatii hai naa saya der tak
Meray yaar jaisa koie nahi ,
Meray pyar jaisa koie nahi ,

Dehko meray yar ki mohabbat
meri lush ko dehk nay kya liye un kya pass waqt yehi nahi...
Bohat masroof rehtay ho.

Sehar say Sham honay tak.

koi Lamha nahi milta.

koi bay naam c Fursat.

koi Gumnaam c Seerat.

kabhi Bethay howay Tanha.

kahin jo Sham ho jaiy.

To meri "ILTEJA" hay ye.

koi lamha chura lena.

Jo "Meray" naam ho jaiy.
Kyun har baar hum unki baton mein aa jaate hain
Kyun baar baar unke kehne se maan jaate hain
Har dard ko sejhne ke baad bhi unke saamne muskurate hain
Aur aapne haaton se apne aasuon ko poochte jaate hain
Ae taer la hoti is rizk se moot ache

Jis rizk se aati ho perwaz man kotahi
bas ik ashk-e-nadamat ne saaf ker dala

woh sab hisaab jo humne utha k rakha tha
Meray janay pay aay jaana
pereshan tum nahin hona
kabhi chup ker nahin rona
judai zeher hoti hai
mujhay maloom hai lakin
furaq-o-hijer ka mosam
yaqeenen beet jayega
yaqeenen wasal kay lamhay
dobara lot aain gay
wohi shamain wohi raatain
wohi qissay,wohi batain
wohi phir dastaan hogi
muhabbat meherbaan hogi