Is jaam ki aadat jab

Is jaam ki aadat jab
Is jaam ki aadat jab tak mila na tha tumse
ab to zarrorat ban gayi hai
Jab se milke bichre hain
hothon pe hansi aankhon mein nasha ,
sabko hai pata
Main sharaabi ban gaya kyon
mujhko na bata
Yeh zakhm tera, ye zurm mera
Na bhool sakoonga kabhi
Nashe mein dooba rahta hoon, tou
Tumko bhoola rahta hoon
  

Jun, 04 2010     312 chars (2 sms)     2910 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
koi sham ati hai teri yad le kar

koi sham jati hai teri yad de kar

mujhe intizar hai us sham ka

jo aey tujhe sath le kar

dil dharakne ka sabab yaad aya
wo teri yaad thi ab yaad aya

haal e dil hum bhi sunatey lekin
jab wo rukhsat hua tab yaad aya

bari mushkil se guzara tha ye din aey dost!
phir tera waada e shab yaad aya

beth kar saaya e gul main NASIR!
hum bohot rooye wo jab yaad aya
kuchh beete hue lamho se mulakat hui kuchh tute hue sapno se baat hui yaad jo karne baithe un tamam yado ko to apki hi yaado se shuruat hui
AISAY HE KISEE AIK LAMHAY MEN,
CHUPKE SAY KABHI KHAMOSHI MEN
KUCH PHOOL ACHANAK KHIL JAHEN,
KUCH BETAY LAMHE YAAD AAHEN
TAB YAAD TUMHARI AATEE HAY ...
JAB CHANDNI DIL KAY AANGAN MEN,
KUCH KAHENE MUJH SAY AA JAHE
IK KHWABEDAA SE CHOTE KOI,
EHSAAS PAY MERE CHAA JAHE
JAB ZULF PARISHAAN CHEHRAY PER,
KUCH AUR PARISHAAN HO JAHE
KUCH DARD BHI DIL MEIN HONE LAGE,
AUR SAANS BHI BOJHAL HO JAHE
AISAY HE KISEE AIK LAMHAY MEN,
CHUPKAY SAY KABHI KHAMOSHI MEN
KUCH PHOOL ACHANAK KHIL JAHEN,
KUCH BETAY LAMHE YAAD AAHEN
Har pal kisi ke ane ki umeed to rehti thi


Aye khuda mujhe phir se wohi tanhai de


Na de chahe koi khushi bas itna karam kar


mera gam mere chehrepe na dikhai de.
Aksar pyar karne wale apne pyar ki tarif karte hain,
taki woh unse juda na ho jaye,
hum isliye khamosh rehate hain,
taki un pe koi aur fida na ho jaye..!!
itney mukhlas B nA Ho k pachtAnA ParhAy



kuch Log iklAAs ko B thukrA DaitAy Hain.
Khwab Aur Khwaish Main
Neend Bhar Ki Duuri Hai
Wasl Aur Judai Main
Aankh Bhar Ka Waqfa Hai
Hijr K Andhairo’n Ki
Chaand Bhar Tammana Hai
Zehan Aur Dil Main Bhi
Soch Bhar Judai Hai
Phir Bhi Aisa Hota Hai
Faaslay Mitaney Main
Umar Beet Jati Hai
Faaslay Nahi Mit’tey
Chalo ab roothna choro
Chlo ranjish bhula b do..

Mohabt tm b krty ho,
Muhabt main b krti hun.,

To phir yeh roothna kaisa???

To phir yeh ranjishein kaisi?

Tmhare paas sab kuch hai.!

Ye Dolat hai,
ye shohrat hai..

Mere daman main meri jaan,

Sirf teri Mohabt hai..

Mujhe bs itna kehna hai

Tmhare paas rehna hai..

Chalo ab roothna choro,

Chlo ranjish bhula b do?
Zaroori to nahin jeene ke liye sahara ho
Zaroori to nahin hum jinke hain vo hamara ho
Kuch Kashtiyaan doob bhi jaati hain...
Zaroori to nahin ke har Kashti ka koi kinara ho....
Kisi ki chahat pe zinda rehne walay hum na thay''Kisi per mar mitnay walay na thay''Aadat si ho gayi hai tumhai yaad karne ki''Werna kisi ko yaad kerne walay hum na thay...