gham-e-zindagi sai farar kya
ye sukoon kya ye qarar kya
gham-e-zindagi bhi hai zindagi
jo nahin chen tu nahin sahi
sar-e-toor ho sar-e-hasher ho
hamain intezaar qubool hai
wo kabhi milain wo kahin milain
wo kabhi sahi wo kahin sahi........
lakh caha karun izhar - e - tamanna lekin
aake honton pe hi alfaaz ne dumm tor diya
paoon to utthe kaii bar tumhari janib
saath himmat ne magar raah mein hi chor diya
Masroof Hain Din Raat Unhain Waqt Kahan Hai
WO Karain Humse Baat Unhain Waqt Kahan Hai
Wo Ponchain Meri Aankh Se Behte Hue Aansu
Ae Ronaq-E-Bersaat Unhain Waqt Kahan Ha
Zindagee ki raahon main
Ek lamha lagta hai
dil kisee pay anay main
mujh ko bhi mila tha woh
jis ko dekhtay hi dil
betahasha dharka tha
mujh se keh raha tha woh
tum se pyar hai mujh ko
muskura kay main nay bhi
phool le lia us say
haath haath main le kar
pyar kay ata karda aasman pay hum dono
chahtay thay saath urna
aasman pay jeevan bhar koi urr saka hai kia ?
haath haath se choota
Ek sitara jo toota
tab khabar hui mujh ko
Ek lamha lagta hai
dil kay toot janay main
aur Umar lagti hai
kirchian uthanay main
Apna aap
Aj wo muddat baad aaye
Bus yeh kehnay
Jaana
Meray saray khat lota do
Sub tasveerein kalam
Kitabein
Wapis kar do saray tohfay
Mujh say sab kuch magnay wali
Jatay jatay
Meray kamray ki chokhat par
Chorr gae hai
“APNA AAP”
Wo bhi aesay logon par
Jin ku apna ham janain
Jab bhi gham sey bojhal hon
Un ku mehrbaan manain
Aetebar Tootey tu.....
Aesay zakhm miltey hein
Jo kabhi nahin bhartey
Mehraban say''e jab
Ham sey rooth jaen tu
Aisi dhoop milti hey
Jis mein rooh jalti hey
Aetebar Tootey tu.....
Dil key aaieney ju hein
Wo bhi toot jatey hein
Aks wo ju apney hon
Wo bhi rooth jatey hein
Aetebar Tootey tu...
Aesay zakhm miltey hein
Aesi dhoop milti hey
Aisey aks khotey hein
Loog hans bhi lein shayad
Dil hamesha rootey hein
Aetebar Tootey tu...!