In Sochti Ankhon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Lamhay Ko Jo Mein
In Mein Dekh Loon
To Dobnay Lagta Hon
In Naraz Rawion Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Saniay Ko Jo Mein
In Per Ghor Karon
Tu Bhataknay Lagta Hon
In Kuch Kehtee Adaoon Mein
Na Janay Kia Baat Hay
Eik Pal Ko Jo Mein
In Mein Khoo Jaon
Tu Bhaknay Lagta Hon
achi soorat k sanwarnay ki zarorat kya hay
sadgee ma b qiamat ki ada hoti hay
tum jo atay ho masjid may ada karnay nimaz
tum ko maloom hay kitni ki qaza hoti hay
Woh chand chup gaya mujhay rat sonp kar
Ankhon ko intezar k lamhat sonp kar
Ek shakhs tha jo mujh say bichar gaya
Ankhon ko meri mausam-e-barsat sonp ka