dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay

dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
dil youn dharka ke pareshan hoa ho jaisay
koi be-dhiyani mein nuqsaan hoa ho jaisay

rukh badalta hoon to shey-rag mein chubhan hoti hai
ishq bhi jang ka medaan hoa ho jaisay

jism youn lams-e-rafaqat ke asar se nikla
doosrey daur ka samaan hoa ho jaisay

dil ne youn phir mere seeney mein faqeeri rakh di
toot ker khud hi pasheman hoa ho jaisay

thaam ker haath mera aisa woh roya
koi kaafir se musalman hoa ho jaisay
  

May, 29 2010     432 chars (3 sms)     3105 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Sitare jo damakte hain
kisi ki chashm-e-heeran main
mulaqatain jo hoti hain
jamal-e- abr-o-baraan main
yeh na abaad waqtoon main
dil-e-nashaad main ho gee
muhabbat ab nahi ho gee
yeh kuch din baa''d main ho gee
guzar jain ge jab yeh din
yeh unki yaad main ho gee ...
Kash k hum sambhal jate aaghaz-e-ishq se pahle.

dil tu bacha hai wo kub kisi ki sunta hai...
kisi k hissay mein ghar aya kisi k hissay dukaan aee

mein sub say chota tha meray hissay mein MAA aee
Is Shab k Muqadar Main Sehr Hi Nahi Mohsin







Daikha Hai kai Baar Charaghon Ko Bujha Ker
Kisi ney lakh samjhaya yeh kafir dil nehin mana
Mujhy khud bhi khyal aya yeh kafir dil nehi mana

Dilon ki apni mantek hey dilon ko kon samjhay
Palat jati meri kaya yeh kafir dil nehin mana

Kahin to hijer k jalty safar main mill hi sakta tha
Kisi deewar ka saya yeh kafir dil nehin mana

Hazaaron orr manzer thy tumhary husn sey berh ker
Nazar ka dil bhi lalchaya yeh kafir dil nehin mana
Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
kisi aur ka naam lekar jlaye unko.
Par koi chot unko lagi to dard hame hoga,
ab koi ye bataye k kis tarah satayein unko.
nahin aata fizaon se pehle humen daman bacha lena...

tumhin par jan dy den ge kisi din azma lena..
nadan hai kitna wo,kuch samjhta hi nahi,

seene se laga k pouchta hai,k dharkan taiz kyun hai....
Ye Jo Mosam Hai Guzer Jaye Ga
Dil Uske Baad Shayad Behal Jaye ga
Uski Bewafai Per Matem Kyun Kerain
Mujhko Malom Tha Wo Ek Roz Badal jaye Ga
Tere labon se hai rangat phoolon mein, Teri aankhon se hai chamak sitaaron mein, Tu jo muskuraake dekhle aasmaan ko, Chaand bhi sharmaake jhuk jaaye tere kadmon mein,
Yeh aur baat hai ke izhaar ho na saka humse...

Nahi hai tumse mohabbat yeh koun kehta hai...
mar kar bhi us ko dekhtay rehnay ki chah mein


ankhain kisi ko apni amanat mein day gaya