Ajnabee shaher me

Ajnabee shaher me
Ajnabee shaher me ajnabee log,
meri tanhai par muskurate rahe,
main bahot der tak saheta raha,
aur wo mujhe baar-baar aajmate rahe.
  

Jun, 04 2010     135 chars (1 sms)     2279 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"fana"itna ho jaun mai teri zaat mei mohsin


jo mujh ko dekh le usko tera didaar ho jaye
Meri Raatain teri Yaadon Se Saji Rehti Hain,

Meri Saansain Teri Khusbu Main basi Rehti hain,

Meri Aankhon May tera Sapna Saja Rehta Hai,

Haan Meray Dil May Tera Aks Basa Rehta hai,

Is Tarah Meray Dil K Bohat pass Ho Tum,

Jiss Tarah Pass Sheh-Rag K Khuda Rehta hai.../
jab tum ne mujh se nata tor hi daya hai..

faqat mahrbani kor ye bikhri hovi yadain le jao..
Ishq woh Dariya hai jiska SAHIL nae hota
Har dil Ishq ke kabil nae hota
Rota woh bhi haijo DUBA is ishq me
Aur Rota woh bhi hai jise Ishq hasil nae hota
maa teri muhabat ko kis terha bayan kero in chand lafzon mai.

tera matha choom kar mujhe subha mujhe jagana or lori de kar raat ko sulana.
USay Ye Kon Samjhaye ??

Wo Dasht-e-Khamoshi Mein

Ungliyo''n Mein Seepiya''n Pehne

Kisi Sookhey Samandar Ki Adhoori Pyaas Ki Baatei''n

Bohat Chup Chaap Sunta Hy

Bohat Khamosh Rehta Hy

Usay Kon Ye Samjhaye ??

Khushi k Ek Aansuu Se

Samandar Bhar Bhi Jaty Hyn

Bohat Khamosh Rehny Se

Ta''aluq Marr Bhi Jaty Hyn ...
jin ka ireeda ho umar bhar,saath nibhane ka jana..,

wo janaazey ke peeche janaaza laga dete hain...
hum un say millay to khuch keh na sakay.faraz.
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar ga
Khud say ruthoon to kayee roz na khud say boloon
Phir kisi dard ki deewar say lag kar ro loon

Tu samander hai to phir apni sakhawat bhi dikha
Kya zaroori hai k main pyaas ka daaman kholoon

Main k ek sabr ka sehraa nazar ata hoon tujhay
Tu jo chahay to teray wastay darya ro loon

Aur meyaar rafaqat k hain aisa bhi nahin
Jo mohabbat say milay saath isi k ho loon

Khud ko umron say muqfal kiye betha hoon faraz
Who kabhi aye to khalwat-kada e jaan kholoon
Suno Pagal..!!
Kahray rehnay say kya hasil..?
Huwa tow buss yehi ho ga..
Hawain dil dukhain gi..
Nigahain bheeg jain gi..
Chalo under chalay jaoo..
Suna hai jo marzi say chala jay..
Woh phir wapis nahin ata..!!
Kabhi es tarah meray ham nafs,
Sabhi chahtein meray naam kar,
Agar ho sakay tu kabhi kahein,
Meray naam bhi koi shaam kar,
Meray dil k saye main aa zara !
Meri dharknon main qayam kar,
Yeh jo meray lafzon k phool hain,
Teray raastay ki ye dhool hain,
Kabhi in say sun meri dastan,
Kabhi in k sath qalam kr.
mariiz-e-muhabbat unhiin kaa fasaanaa
sunaataa rahaa dam nikalate nikalate

magar zikr-e-shaam-e-alam jab bhii aayaa
chiraaG-e-sahar bujh gayaa jalate jalate