Tere qareb aa kay bari uljhano

Tere qareb aa kay bari uljhano
Tere qareb aa kay bari uljhano main hon,
Main dushmanon main hon k tere doston main hon,
Badla na mere baad bhi mouzu-e-guftago,
Main ja chuka hon phir bhi teri mehfilon main hon,
Mujh se bichar k tu bhi to roeyga umer bhar,
Yeh soch lay k main bhi teri khuwahishon main hon,
Tu hans raha hai mujh pey mera haal daikh ker,
Or phir bhi main shareek tere qehqahon main hoon.
  

Jun, 01 2010     379 chars (3 sms)     3177 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aa jata hai milney wo taswar main sar-e-shaam

ek shakhs ki itni c inayat b bahut hai...
Mere Wajood Se lipti Khushboo tere Naam Ki hai

Mere dil Main basi har ek Dharkan Tere Naam ki hai

Itna Yaqeen Ker le Mere humnasheen

Bin tere Meri Zindagi beNaam si Hai
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
Ujlat main likhay gae chand alfaaz ko ager aap khat samjhti hain to muje aap ka khat mil gya :)
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
jab kabhi
koi yaad
achaanak ankhein chabho jae
to meri hatheliyon ke lams ki baaz gasht
honton se lagaana
use saanson se garm karna
or palkon ko band kar ke
ankhon se choom lena
Kehney Waalo''n Ka Kuch Nahi Jaata,

Sehney Waaley Kamal Kartey Hain

Dardo''n K Jawab Kon Dhoondhey,

Log Tou Bass Sawal Kartey Hain...
WO Saath Mere Behta Hua tha
Per Kisi Aur Ke Kareeb Tha
Wo Apna Sa lagne Wala
Kisi Aur Ka Naseeb Tha
"Khuwab bhi shayed kaanch se kamzor hote hain,

"("Mohsin")"

Her roz bikhar jaate hain faqat ik aankh k khulne se..
Daikhi jo meri nabz tou kuch sochnay k baad

Lia haath mai kagaz or bemaar e ishq likh dia

Qurbaan kyun na jaun mai aisay hakeem kay

Nuskhay mai jis nay sharbat e dedaar likh dia
Wo Mujhse Poch Raha Tha Batao Kesa Laga
Tum Agly Zakham Choro Yeh Ghao Kesa Laga
Ajab Sawal Kia Andhiyoun Ne Patton Se
Shajar Se Toot Ker Girna Batao Kesa Laga
Ae Aankh Tuu Band
Ho Jaa

Khwabo''n Mein Un Ki
Surat
Tou Nazar Aane De

Intizaar Tou Subha
Phir Shruu hoga

Kam-az-Kam Raat
Tou Khusi Se Guzar
Jane De ... :)