Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein

Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Aaj jo Tanha hai Woh Pardes Mein
Zaroor Mujh ko us Ney Socha ho ga
Khuvabon aur Khyaalon Mein
Mera hi Chehra Tarasha Ho ga
Raah Chaltey jo us ko
Mera khyaal Aaya Ho ga
Aik Nazar Ruk ke Asmaan Pe Chand ko Dekha Ho ga
Jab Saath They to Roz hi larti Thi Mujh sey
Ab Din Mein so Baar khud peh Bigarti Ho gi
Mail Box Kholtey hi Naam mera Dhondti Ho gi
  

Jun, 01 2010     356 chars (3 sms)     17257 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aapi nigahon mein jabse dekha hain,
Koi bhi aaina accha nahi lagta,
Apki mohabbat pe Aise hue hain aashiq,
Ki aapko koi aur dekhe toh accha nahi lagta
Meri manzil ka sfr es lye khatarnaak tha.

k mera humsfr bhut haseen tha.
Wohi muntazir negahain
wohi sham-e-gham ka manzar...
main azal sy dhoond raha hun
teri wapsi ki rahain...
Dervaish kbi waqt k qadmon mein nhi girta
Sitara tot bi jai tu zamin per nhi girta
Deryaon ko shoq ha samander mein uterne ka
Samander kabi derya mein nhi girta
woh pal,woh rat,woh sakoon,woh husn,aoor woh tum hum.

woh tum sub kuch hamari dolat bani,bas woh hum na rahay...
wo charagh-e-jaan k jis ki low,,,na kisi toofan se kam hui...

teri bewafai k wasvasay usay chupkay chupkay bhuja gae...!
Hum to wo log han jo
Na kisi k dast-e-shumar mein han
Na kisi ki nigah k hisar mein han
Yun jeise sadiun ka ho be-ant safar
Sehra sehra phirta koi khak basar
Kya puchte ho kon han hum
Ham to jugnu bi nahi han
K ksi ki ankh mein chamakte
Ham to ansu ki tarhan han
Ankh se tapke or dub gaey
Mohabbat ki aass mein
Garh se nikle or besimt musafat mein
Darbadar phirte huey
Ksi benam shaam ki nazar huwe..
Thay Bohat Be-dard Lamhe Khatam-e-Dard-e-Ishq K

Thii''n Bohat Be-mehar Subhai''n Meherbaan Raato''n K Baad
Hamein Pata Tha K Teri Muhabat K Jaam Mein Zehar hai Lekin.!

Tere Pilany Mein Khaloos itNa Tha k HuM Thukra Na Skay… !
Bhigte rahte hai Baarish me Aksar,

Kabhi mangi kisi se Panaah nahi.

Hasrate puri na ho toh na sahi,

Khwab dekhna koi gunah to nahi.
Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi

Muddatein Beet Jati Hain Kisi K Intezar Mein
Ye Sirf Pal Do Pal Ka Kaam Nahi
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool Jaye