janay kis liay pal main,
log bhool jatay hain!!
zindagi ki yadoon ko,
bay shumar wadoon ko,
khushguwaar batoon ko,
sath guzri shamoon ko,
an ginat iradoon ko,
Janay kis tarah pal main
log bhool jatay hain!!
pyar ki haqeeqat ko,
umar bhar ki chahat ko,
rishtoon ki nazakat ko,
jazaboon ki sadaat ko,
lams ki hararat ko,
dil sye dil ki rahat ko,
KAISAY BHOOL JATAY HAIN?
KAISAY BHOOL JATAY HAIN??
Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Me Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhayi Dhundoge Aansu Bahane Ko
Tum Mujh ko Gudya kahtay ho
Theek Hi Kahtay ho______!
Khelnay walay Sub Hatoon ko
Main Gudya hi Lagti hoon
Jo Pahna Do, Mujh par Sajay ga
Mera koi Rung nahi
Jis Bachay k Haath Thama do
Meri Kissi say Jung Nahi..!!
wo sari batten khwab huin
or khwab se phir azab huin
jab tumko saba k jhonky se
pegham hmara milta tha
jab meri ek nazar se hi
chehra ye tumara khilta tha
kuch Yad sa tum ko hai Jana''n
Tumhe Kahabar Hee Nahi Tum jo Lot Jao ge
Tumhare Hijar Mein Lamha Hona Hai
Hamari Roh Pe Jab Bhi Aazab Utrain Ge
Tumhari Hee Mohabbat Ko Iss Dil Ki Dhaal Hona Hai
Raat ki gheri khamoshi main
chupkay se dheemay se
sergoshi main
koi mujh se bola
suno!
tum wohi ho na jo raat hotay he
meri Ankhon mai utar aati ho
meri aankhon mai jugnoon ki tarha
roshan ho jati hai
ek roshan taray ki tarha
neendo main utar aati ho
tum wohi ho na?
Main boli
haan main wohi hon
Woh bola…bohut buri ho
meri neenden ura ker
khud chain se so jati ho…
Usko her chahton se barh kar chaha maine
kay her chaht ne mere hasti mita di
Wo na janay kis mitti se bana tha
Jisne mere jene ki her hasrat mita di
Mai khamosh ho chuki hon jaise kuch bacha ni
Muj pe her dukh ki usne hr intaha milta di