Ab chor chale hum es

Ab chor chale hum es
Ab chor chale hum es duniya ko--kabhi jo yaad aye mere tu mat rona

Mere maut ki khabar agar--Mil jaaye tujhay tu mat rona

Mere yaad tumhein sapna ban kar--Tumhein jo tarpaye tu mat rona

Ek khawab samajh kar boljana mujhay--Mere baad MERE LIYE MAT RONA....
  

Jun, 03 2010     265 chars (2 sms)     6624 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

tu kia hum rooh me me bhi utrey howe hain,

tum ne chaha hi nahi chahne walon ki tarha.
1 bat batao raz ki.

Kro us larki se ashqi.

Jis k chehre pe ho sadgi.

Sanso me ho tazgi.

Chndni ho chand ki.

Rani ho raat ki.

Khushbu ho gulab ki.

Baten kre pyar ki.

Nazuk ho mizaj ki.

Ache ho ikhlaq ki.

Paband ho namaz ki.

Khidmat kre maa bap ki.

Aur kahey main hoon sirf aap ki
aj ehsas ke daman mein aansu gira ke dekhiye
pyar kitna sachcha hai dil laga ke dekhiye
aapko bhul ke kya hogi is dil ki halat
kisi aaine pe paththar gira ke dekhiye
Main ToU SaAf SaAdA MiZaAj ThA MuJhe HuSn-o_IsHq Ki KiA KhAbBaR

TeRe EK TaBaSsUm-e-NaAz Ne MeRa SaArA ZaUq BaDaL DiA . . . ! ! !
Bhool thi Meri jo mein ne tujhe apna mana
Teri Dosti Ko Mein Ne Teri Chahat jana
Mujhe Na Khabar Thi Ke Tu Aesa Hoga
Ke De Ker Zakham Iss Tarah Se Be-Khabar Hoga
Gam nahi waha jaha ho fasana tera,Khushiya dhundti rahe aashiyana tera,Wo waqt hi na aaye jab tu udas ho,Ye duniya bhula na sake muskurana tera..
kar kar k MinTain uski



Adat Bigaar di


DanistA hum ne us ko


sitamGar Bana Dia.
Woh Mujh Se Mere Ishq Ka Hisaab Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Zinda Rehne Ki Wajah Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Meri Chahat Ka Saboot Maang Raha Hai
Kitna Pagal Hai Mujh Se Mere Wajood Ka Nishaan Maang Raha Hai
Woh Mujh Se Mere Aansuon Ka Saboot Maang RAha Hai
Kitna Pagal Hai Meri Tanhiyan Ka Saboot Maang Raha Hai
Chaha The Jise Jaan Se Zyada
Aaj Woh Hi MUj Se Dushmani Maang Raha Hai
hum ap k dil main rehte hain,
Is liye her dard sehte hain,

Koi hum se pehle WISH na ker de apko,
Is liye sub se pehlay "Happy Ramadan ul mubarak" kehte hain
ik aag thi kay jaltay rahay jismain umar bhar,
ik dard tha kay jismain khayanat kabhi na ki!
Jisne Shaoor Dia Mujhe Muskurane Ka
Usey Shouq Hai Ab Mujhe Shab-O-Roz Rulane Ka
Jo Lehron Se Cheen Ker Laya Tha Kinare Per
Muntazir Hai Ab Wohi Mere Doob Jane Ka
uss ny phir mera hall poocha hy
kitna mushkil sawal poocha hy
hichkion ka ajeeb lehja tha
baat ko taal taal k poocha hy
tum mujy chore tu na jao gy
wasty daal daal k poocha hy
ansouon ki zuban man uss ny
jitna poocha ha kamal poocha hy
kia kabhi mill saken gy hum dono
mujh sy mera khyal poocha hy................