Mera apna na tha

Mera apna na tha
Mera apna na tha koi mere siwa.

Main ne chaha kisi ko, na chaha gaya..

Main ne jitne mohabbat bhare khat likhe

Un pe apne hi ghar ka pata likh diya
  

Jun, 03 2010     157 chars (1 sms)     4510 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya...
Pyaar se pyari koi majboori nahi hoti.
kami apno ki kabhi puri nahi hoti.
Dilon ka juda hona alag baat hai,
Nazron se door hona koi doori nahi hoti.
Dekhte hai duniya ki aankhon se,
Aashiqon ki yehi aadat kharab hai
Dil ki aankhon se dekhe gar koi,
Har haseen ko samjhna aasan hai
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
Kitni Aziyat Se Us Ne Mujh Ko Bhulaya Ho ga
Meri Yadon Ne Usay Khoob Rulaya Ho Ga

Baat Be-Baat Aankh Us Ki Jo Chalki Ho Gi
Us Ne Chehray Ko Bazuon Main Chupaya Ho Ga

Socha Ho Ga Us Ne Din Main Kayi Bar Mujhay
Naam Hatheli Par Bhi Likh Likh K Mitaya Ho Ga

Jahan Us Ne Mera Zikar Suna Ho Ga Kisi Se
Us Ki Aankhon Main Koi Aansoo To Aya Ho Ga

Raat K Bheegnay Tak Neend Na Ayi Ho gi Tujhay
Tu Ne Takiye Ko Bhi Seenay Se Lagaya Ho ga

Ho K Nidhal meri Yadoon Se Tu Ne Jana
Meri Tasveer Pay Sar Apna Tikaya Ho Ga

Poocha Ho Ga Jo Kisi Ne Teri Haalat Ka Sabab
Tu Ne Baton Main Khoob Us Say Chupaya Ho Ga
Aankho mein aansoo aye na hote .
Agar wo peeche se muskuraye na hote.
Unke judai ke baad ye gam hota hai ki.
Kash wo jindgi mein aye na hote
Ek Khushi Dil Ne Kia Maang Li
Meri Har Khushi Ko Nazar Lag Gyi
Is raaz_e_muhabbat ko aam nahi krna,

chahat k jazbon ko badnam nahi krna,

tum JAAN ho meri bus itna samajh lo,

meray in lafzon ko neelam nahi krna.....
usne sub kuch jaan k bhi mujhe maaf kar daya..

meri maa ne matha choom kar aaj phir mujhe sula daya..
Khali hathun ko kabhi ghor sy dykha hai faraz,

Kis tarah log lakeerun sy nikal jaty hain...
tum aao to sahi
ahlay dard ki mahfil may
palkay main apni bichaoo ga
bayshuk!
maray gahr kay bahir
patahr hai kahksha nahi
lakin!
kahas taray liay
main
dil ki galioo main
chahat kay phool pichaoo ga
tum aao to sahi
Ye unki khubiyon ka asar hai,

jo wo itney ache lagte hai,

Jab wo kehte hai ki waada hai mera,

Jhoote wade bi sache lagte hain.