Gile kagaz ki tarha hai jindgi apni,
koi jalata bhi nahi or koi bahata bhi nahi,
is kadar akele hai raahon me dil ki,
koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
zindagi ki musafat main
khoshion ki chahat main
mausmon ki manind
lehjay badal jatay hain
sukhay paton ki tarhan
waday toot jatay hain
yunhi saath chalnay walay
rasta badal jatay hain
kion zindagi ki musafat main
zindagi se payaray log
choot jatay hain
humain vo bhool jatay hain