Kisi ne hume aashiq

Kisi ne hume aashiq
Kisi ne hume aashiq kaha,

Kisi ne hume diwana kaha....

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apnon ne hume begana kaha....
  

Jun, 05 2010     128 chars (1 sms)     3757 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Main isi waja say na keh Saka Tujhay Dil ki Baat Aaj Tak...

K Tu dard-e-dil Sy hy Be khabar kahiN Muskra k na Taal Day.
Me Tum Se Kch Kehna Chahata Hon,

Kehny ka Jab Irada Karta Hon,

Mary bolny Se qabal He,

Ek dard Angrai ly kar Bedar ho Jata Hai.

Phr......!

Na Dil Sanbhalta Hai

Na Aansoo Rook Pata Hon,

Mai Tum Se Kch Kehna Chahata Hon,

Magar......!

Ab Yun Lagta Hai Mujhy,

K Mai Kabhe Bhi Tum Se Kuch Keh Na Paaon Ga,

TUM KISI OR Ki HO JAO Gi,

Mai Tanhaa Reh Jaon Ga,

Mai Tanhaa Reh Jaon Ga.
December Ki Udass rutt
lout ayi hay nami ankhon mein liye
aur keh rahi hay mujhe
k tere waste ab ki baar bhi
mere daman mein sirf tanhayi hay!!!
Koi aisa na mila jispar duniya luta dete,
har ek ne dhoka diya kis kis ko bhula dete?
Apne dil ka dard dil mein hee dabaye rakha,
karte bayaan toh mehfil ko rula dete...
Tanhaayi mein na kabhi jiya hai maine,
Jab tanhaayi hote hai hum mein , tere saaye se jiya hai maine
kahin na kahin koi na koi humare liye bhi bana hoga,
is baarish ki boondh ke liye koi to sip khula hoha,
apne sapno ke rajkumar se milne ki chahat he,
chupke chupke sunai deti is dil ko mohabbat ki aahat he.
Us Roz Kisi Pel Mujhe Aaram Na Aaya
Jis Roz Mere Lub Pe Tera Naam Na Aaya

Humne Us Shaam Ko Shaam Na Kaha
Jis Shaam Tu Yaad Sar-E-Aam Na Aaya
Baarish Hui Tou
Lag k Dareechey Se
Ghar k Hum

Chup Chaap
Tumhai''n
Sochtey Rahey ... !!!
Tamam umar zindagi se door rahe,

Teri khushi ke liye apni khushi se door rahe.

Ab is se barh kar wafa ki saza kya hogi,

Keh tere ho kar bhi tujhse door rahe.
Khush ho ay dil mohbbt to nibha di to ne,
log ujar jatay ha anjaam se pehlay pehlay
ab teray zikar pe hum baat badal daite ha
kitne raghbat thi teray naam se pehly pehly
samne umar pari ha shab-e-tanhai ki,
wo mujhay chor gaya sham se pehly pehly.../
Wo ek Shakhs k jis se shikayaten theen bohat,
Wo aziz tha us se Muhabbaten theen bohat,
Wo jab mila to dil mein koi Talab hi na thi,
Bichar geya to hamari Zaruratien theen bohat,
Wo yon mila ke jaisay kabhi mila he na tha,
Hamari zaat pe uski inayaten theen bohat,
Hamen khud apnay hi yaron ne kar diya ruswa,
Ke baat kuch bhi na thi or Wazahatein theen bohat,
Har mor pe hum totetay bikhartay rahe,
Hamari rooh pe tanha qayamaten theen bohat.
us k sub jhoot such sahi mohsin...

shart itne hai wo bole to sahi...