Hajoom Mein Tha Wo Na Ro Saka Hoga
Magar Yakeen Hai Shab Bher Na So Saka Hoga
Wo Shaks Jise Samjhne Mein Mujhe Umar Lagi
Bicher Ke Mujhse Kisi Ka Na Ho Saka Hoga
Barishon k mosam main.waqt k andhairon main,mene us say pocha tha.Chor to na jao gay?Hath thaam kar usne ye bola tha??kaise chor sakta hon?Tum to jan ho apni?aur aaj aisa hai k waqt ki tamazat main..Vehshaton k mosam main..main nay uss say pocha .. chor k hi jana tha muskrati galion main to aas kyun jagai thi..?mere in sawalon par na wo chonka,na thehra..chaltay chaltay itna hi kaha bus..Mosam k khail hain.sab waqt ka tagayur hai.
Dhoondte Kiya Ho In Annkhon Mein Kahani Meri,
Khud Mein Gum Rehna To Aadat Hai Purani Meri,
Bheer Mein Mil Jaoon Ga Asani Se Khoya Khoya Rehna Hai Nishani Meri.......
Piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholli bhaalli soorat main
piyar kesay milta hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
roo rahi hai shehnaii
bheer main hai tanhaii
rooknay se ruktay hain
kab bhala yeh herjaii
rishtay kachay dhagay hain
yeh tu maan lo pehlay
yeh tu maan lo pehlay
benaam logon k
kitnay naam hotay hain
yeh bhi us ki qudrat k
kesay kaam hotay hain
kiun yeh aisay hota hai
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay
bewafa zamanay main
piyar dhoondnay walo
matti ki moorat main
bholi bhaali soorat main
piyar kesay milta hai yeh
yeh tu jaan lo pehlay
yeh tu jaan lo pehlay