Kabhi tum milnay aao na

Kabhi tum milnay aao na
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
Tumhein bahon mein bharna hai
Tumhari zaat mein kho kar
Tumhara hissa banana hai
Mujhe weeran ankhon mein
Tumhari bikhari baton mein
Wafa ka rung bharna hai
Tumharay phool chehray par
Udasi ka jo manzar hai
Yahan pay apni chahat say
Hansi ko naqsh karna hai
Tumheray sath mil k
Zindagi ki jung larna hai
Kabhi tum milnay aao na
Tumhein mehsoos karna hai
  

Jun, 01 2010     418 chars (3 sms)     4831 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Mairy marnay kay baad mairee ankhan kholee rahe

FARAZ

q kay mujy adatt see ho gaie thee tary intazar ki
Yeh Unki Bhi Aankhon Ka Qusur Hai






Main Tanha Gunahgar To Nahi
Bhulakar to dekho ek baar hume,

Zindagi ki har adaa tumse rooth jayegi.

jab bhi sochoge apno ke baare mein,

tumhe hamari yaad zaroor ayegi.
Meri saanso me ek aahat apki bhi hai,

Dil ki dhadkano me gungunahat aapki bhi hai.

Anjan hai aap is raz se ki,

Hamari hansi me ek muskurahat aapki bhi hai.
Din udas Hain Teray Bin hijar shamain dasne lagi Hain,


Lout aao tum meray haal pe meri Tanhayian hansane lagi Hain.
jo us kay chehray pe rang-e-heya thehar jay
to saans, saqt, samandur, hawa thehar jay

wo muskrai to hans hans parhain kai mosam
wo gungunay to bad-e-saba thehar jay

subak khram saba chaal chal parhe jub bhi
hazar phool sar-e-raah aa thehar jay

wo hont, hont par rakh de agar dam-e-akhar
mujhe gumaan hay kay aai qaza thehar jay

main uski aankh main jhankoon to jesay jam jaon
woh aankh jhapke to chahoon zara thehar jay
Dil tordna humari aadat nahi

Dil hum kisi ka dukhatay nahi

Barosa rakhna merri wafaoon pe

Dil main basa ker hum kisi ko buhlatay nahi
Insaan Bada Jab Banta Hy

Jab Badey Wo Kaam Kare

Kaam Badey Kia Hote Hain

Kaam Badey Kuch Yun Hote Hain

Choti Choti Baato''n Se

Choti Choti Kushio''n Ko

Baant Kar Sab Main Bari Bari

Insaan Bada Ban Sakta Hy

Gar Thodi Si Koshish Karey

Koshish Wo Yun Ker Sakta Hy

K Dukh Apni Jholi Main Le Kar

Sukh Auron K Naam Karey

Apne Tou Apne Hii Hain

Ghairo''n Ko Bhi Apna Samjhe

Insaan Ki Izzat Badh Jati Hy

Aur Insaan Azeem Ho Jata Hy

Har Shaks Ki Izzat Lo Agar

Wo Apni Hii Izzat Samjhe

Naram Hawa Ka Jhonka Ban K

Nam Aankhon Ko Khushk Karey

Wo Hum Ko Pathar or Khud Ko
Phool Keh Kar Muskaraya Karte Hai

Unhain Kya Pata Ki Patthar To Patthar Hi Rehte Hai

Phool Hi Murjaya Karte Hai
Tareekion Se Shikwa main Kis happ se krta ''m0hsin''

in Ujaon ne Kon Si Meri Tanhayan Mita Dein
waqt ki aanch main pather bhi pigel jaty hain
qeh qehhy loat ker ashkon main badel jaty hain
koun kerta hai yaad kisi ko umer bher
waqt kay sath insan bhi badel jaty hain

meri aur uski ankhein

kitni milti julti hain

ik jaisee rengut walee hain

farq hai to bus itna sa

meri aankhaon mein

rung hai uska

uski aankhain khalee hain!!