khud ko is dil main

khud ko is dil main
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do...

Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do

Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do

Nahi hai shauk bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do............;->
  

Jun, 04 2010     369 chars (3 sms)     2282 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

apne hi haal pe hansna bhi hans ke rona bhi.

main bayak waqt tamasha bhi,tamashai bhi.
Dil to maira udas hai Meer
Par yeh shehar kuoon saaen saaen karta hai
Dhundla Rahey Hein Shehr K Jaltay Howey Charagh, Aey Neend Aa Bhi Jaa, K Boht Raat Ho Chukki..!!
Teri Qurbate''n b sarab hyn, ye bhala hua k mili nhi
Teri duriyan b azab hyn meri dasht-e-jaan sy tali nhi
Pas-e-chashm-e-num zarur hy mera dil wafaon sy choor hy
Meri manzilon
ka Qusoor hy, tery raaston se mili nhi
Wo Shakhs Mujhay Ik Pal Mein He Chor Gya Faraz
Jo Shakhs Ik Pal Bhi Nahi Rehta Tha Merey Baghair
Masoom muhabat ka bas itna fasana hai,
Karaye ki cycle hy aur tire b porana hy

Sarak hai ya khadon ka taykhana hai,
Ganti b toti hy aur bachay ko b hatana hy

Paidal admi ko catne ki umeed boht kam hai,
Cycle b purani hai aur penkchar b lagana hai

Pohanchy ya na pohanchay apni manzil pe,
ik shaks ko cycle se gher b pohanchana hai,

Bholi si ada koi phir ishq ki zid per hai,
Karaye ki cycle hai aur time pay jana hai...
Tumse Milne Ki Justju Bi Ha

Aur Tu Mere Rubru Bi Ha

Hosla b Nahi Hy Jine Ka

Aur Jeene Ki Arrzu Bhi Ha

Hum ne Socha Dil Jala Dain

Phir Khyal Aya Dil Me Tu Bhi Ha
Is Rah-e-MOHABBAT Ki Tum Baat Na Poocho

Kis Tarha Guzarte Hyn Din Raat Na Poocho

Anmol Jo Insan Hyn, Bemol Bikey Hyn

Dunia K Is BAZAR Ki Tum Auqaat Na Poocho
main chahata bhi yahi tha wo bewafa nikalay
usay samajhnay ka koi to silsila nikalay

kitab-e-maazi ke auraaq ulat kay dekh zara
na jaanay kaun sa safah mura hua nikalay

jo dekhanay main bahut hi qareb lagata hai
usi kay baray main socho to fasala nikalay
Aaj Bhi Ek Sawal Hai is DIL Me,

Pyar Ka Gam Beshumar Hai is DIL Me,

Kuch Keh Nahi Pata Ye DIL Magar

Kisi Ke Liye Bahut Pyar Hai Is DIL me
Tum Ko Hum Dil Mein Basa Lein Ge Tum Aao To Sahi
Saari Duniya Sey Chupa Lein Gey,Tum Aao To Sahi
Ekk Waada Karo, Ab Hum Sey Na Bichrro Gey Kabhi
Naaz Hum Saarey Uttha Lein Gey Tum Aao To Sahi
Ikhtelafaat Bhi Mitt Jaayein Gey Rafta-Rafta
Jiss Tarha Hoga Nibha Lein Gey, Tum Aao To Sahi
Youn To Har Simt, Nazar Utth-ti Hai Tareeki Hai
Pyar Ke Deep Jala Lein Gey, Tum Aao To Sahi
Dil Ke Veeraano Sey Ghabra Ke Na Moonh Ko Morro
Bazm Ye Phir Sey Saja Lein Gey.Tum Aao To Sahi.~!
tu sarmaya-e-hasti hai tera zikr kaisa..?

yaad to tab karein jab bhulaya ho tujhe..?