wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta

wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta
wo khatam qaid ki miad bhi nahin krta,
magar main zahmat-e-feraad bhi nahinkrta,
kabhi kabhi wo itna yad aata hay"faraz''
main zid main aa kr use yad bhi nahin kr
  

Jun, 02 2010     165 chars (2 sms)     3655 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Lamhay judai k bekarar kartè hain.

Haalat meray mujhay lachar kartè hain.

Ankhain meri parh lo kabhe.

Hum khud kaisay kahen k hum aap ko kitna yaad kartè hain.
Tere IsHQ ne Bakhshi Hai Ye Soghat Musalsal,

Tera zikar Hamesha Teri Baat Musalsal,

Ek Muddat Hoi Tere Baam O dar se Nikle,

Rehti Hai phir B Tujh se Mulaqat Musalsal,

DiL Lagi, DiL ki Lagi Ban jati Hai,

jab Tasawwur Main Guzarti Hai Raat Musalsal,

jab saY dekha zulf e preshan ka Aalam,

UljhaY Howe Rehte Hain Mere Din Raat Musalsal,

Main Muhabbat Main Us Mqaam pe pohncha Hon jahan,

Meri zaat Main Rehti Hai teri zaat Musalsal... ;->
Sambaal Rahkhe Hai Mein Ne Jo Sitaam Diye Tu Ne,
Tere Zulmoon Ko Dil Mein Samaya Hai Kis Ne,
Tere Labhoon Pe Har Gari Naam Rahta Hai Mera,
Bata Hontoon Ko Tere Ab Silaya Hai Kis Nee
ek NAAM kya likha tera SAHIL ke rait py....

phir UMR bhar HAWA sy meri dushmani rahi...!!
Kabhi nazren milane me zamane beet jate hain,
Kabhi nazren churane me zamane beet jate hain

Kisi ne ankh b kholi to sonay ki nagri me,
Kisi ko ghar banane me zamane beet jate hain

Kabhi kaali siyah raaten hamen ek pal ki lagti hain
Kabhi ek pal bitane me zamane beet jate hain

Kabhi khola jo darwaza to khari thi samne manzil
Kabhi manzil ko paane me zamane beet jate hain.../
jitna b usko sochoon utna hi door paoon,
jitna b usko chahoon khud hi bikharti jaoon,
may aam c musaafir be aas be sahara,
wo door kahin basta ek aasman ka tara,
may rait se ulajhti sehraon ki hawa hun,
wo sahilon pe chalti baad-e-saba ka jhonka,
han farq to bohat hai, pr baat ye faqt hai,
may lakh toot jaoon,khud se hi rooth jaoon,
pr ye na hoga mujh se, k may usko bhool jaoon...!
yah kuch kam hay kay bassa hay mari sansoon main.
woh samnay ho mari ankhoon kay zarori to nahi.
shded dhoop se samjhota kon karta hai..

ghane darakht hi sabka thakana hate hain
Yu nazar ki baat kii aur dil chura gaye

Andhero ke saye mein dhadkan suna gaye

Hum to samajhe the ajnabi aapko

Par aap to hume apna bana gaye...;->
Dil Jo toot Gaya To Feriyad Kero Ge Tum
Hum Na rahe To Hamain Yaad Kero Ge Tum
Aj To Kehte Ho Waqt Nahi Hai
Phir Ek Din Mere Liye Waqt Se Fariyad Kero Ge Tum
Tujhe Udas B Kerna Tha
Aur Khud B Rona Tha
Yeh Hadsa B Meri Jaan
Kabhi To Hona Tha
Wo Mujhko Torr Ke
Phir Jorta Raha Akser
Mein Uske Waste Jese
Koi Khilona Tha
Us ko mera halka sa ehsaas to hai
be-dard sahi woh meri humraaz to hai

woh aaye na aaye mere paas lekin
shiddat se mujhe uska intezar to hai

abhi nahi to kya hua mil hi jaayegi kabhi
mere dil mein us se milan ki aas to hai

pyaar ki gawahi mere aansuon se na maang
barasti nahi aankhen magar dil udaas to hai...