Her hud guzar chuki hay mari tujh say piyar ki
Zindagi mangi hay ager aur to tujh say piyar ki
Her khoshi hogaiee hay mari wabasta tujh say
Jab say aibtada ki hay may nay tujh say piyar ki
Taray siwa mujh ko abb kuch aur nazer nahi aata
Aintaha dekh li hay sub nay mari tujh say piyar ki
~ Tum Bin ~
Jab bhi unke ghar se gujrata hu,
hamari ankhen ek dastak de hi deti hai.
Dukh ye nahi wo darwaja bandh kar deti hai,
khushi ye hai ki wo hame pehchan to leti he.
Andhere me rosni ka wajood shayd kahi kho gaya hai,
khusi ka silsila bhi ab to ateet ho gaya hai.
Ik roshan shama banana chahte the khud ko hum,
taki door kar saken andhere ka gham.
Tej andhi ne shama ka vajood
usi andhere me dubo diya hai.
wo jin ko teri qurbat main bhool bahte thy.
wo log teri judai k baad yaad aye.
hum itne bhi gaye guzre bhi nahi thy jaan faraz.
keh tujh ko sari khudai k baad yaad aye.