main tum say bicher

main tum say bicher
main tum say bicher ker nahi faryaad keroonga
ye bhool jaoo k main tumhay yaad keroonga

is shehr e baywafa main wafa ki qadr kahan
ab ja k main sehraoon ko abad keroonga

ger dil k taluq say hay inkar wo kerta
main rooh k rishtay say bhi azad keroonga

shayad khushi sakoon main rahat na mili hoo
gham day k apnay dil ko main ab shad keroonga

dil bhi udaas rah k ab ukta sa gia hay
ab to niya hi shughl main ijaad keroonga

hay mera zarf teri wafa say kahiin barh ker
ay baywafa tujhay main kion barbaad keroonga

tu bhi bichar gia hayye dil bhi udas hay
kis say biyaan apni main roodad keroong
  

Jun, 04 2010     615 chars (4 sms)     2673 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kante Meri Anaa K Mujhe Rokte Rahe,
Main Us Ki Gali se Ban K Dewana Guzar Gaya,
Main Wo Shakhs Tha Jo Hiqarat Ki Aankh Se,
Darya Ko Dekhta Huwa Piyasa Guzar Gaya...
Aako....
Dil ki dhadkn ruk si gayi hai...
Saase meri tham si gayi hai...
Pucha tha dil ke doctor se humne..
Pata chala is dil mai aapki yaade jam si gayi hai...
qasam un mast ankhoon ki main wo lub-raiz-sagar hoon..

jo masti main chalk jaoun,tu mehkhano ko lay dooboon...
Suno! ab bnd mutthi men andheron ki hakomt hy...

mujhy jugno hatheli me chhupa leny ki adat thi...!!
kisi ko aankho mein basaa ke dekhaa thha
kisi ko dil mein bitthhaa ke dekhaa thha
ab tak thame nahin hai mere aansoo
bas ek baar muskurake dekhaa thha.
na mila kar udass logo se..

husan tera bikhar na jaye kahen..
Ajj Bhi Wo Taqdus bhari raat mehki howi hai WASi
MAin ksi main koi mujh main dhalta raha chand jalta raha
nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
main muntazir hoon barish ka, fasl-e-bahar say pehlay,
main muntazir hoon phoolon ka, rahon main khaar say pehlay.

haan us k wastay sooli, pe char gaya tha main laikin,
maktal main sang utha paya, koi na yaar say pehlay
Wo jo Shaier tha, Chup sa rehta tha
Behki behki si baaten karta tha
Aankhen kanon pe rakh ke suntan tha
Goongi khamosheyon ki aawazen…..!
Jama karta tha Chand ke saye
Or Geeli se noor ki boonden
Rookhay Rookhay se Raat ke Patay
Ook mein bhar ke kherh kherata tha
Waqat ke us ghaneray Jangal mein,
Kachay pakey se Lamhay Chunta tha
Haan, Wahi, Ajeeb sa Shaier
Chand ki Thori Choma karta tha
Chand se gir ke mar geya ha wo
Log kehtay hain Khud Kushi ki ha….!
yeh milna aur bicharr jaana
kab apne bas ki baat hai
kismat hi milati hai hum ko
kismat hi juddai deti hai
har baar yeh hi hota hai
koi hume bataye to sahi
ki aakhir kyu jo hum tum se nahi keh paate hai
wo dharkan se sunayi deta hai.
Sono

tum ne kaha tha,

tum meri zindagi hu.

chalo

ub bata do

tum zinda kase ho...