Aye Khuda Rait key sehra ko

Aye Khuda Rait key sehra ko
Aye Khuda Rait key sehra ko samandar kar dey

Yan chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey

Tuj ko dheikha nahi mehsoos kia hai mai ney

Aa kisi din mere ihsaas ko payker ker dey

Yan chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey

Aur kuch bhi mujey darkaar nahi hai lakin

Meri chaadar mere pairon key barabar ker dey

Yan chalakti Aankhon ko bhi pathar ker dey
  

Jun, 04 2010     368 chars (3 sms)     3033 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Hijr ki Talkhi Zeher Bani Hy

Meethi Baate''n Bhejo Na

Shaam Me Jeewan Beet Chala Hy

Roshan Subhe''n Bhejo Na

Khud Ko Dekhy Arsa Guzra

Apni Aankhe''n Bhejo Na
hay ishq k maaron ka itna hi fasana hay
ronay ko nahi koi hansnay ko zamana hay
sub se yun milna k jesay dil main koi dukh na ho,
mujh main ye khoobi hai sub khaamyon k bawajood
December jab b lot''ta hai,
Mere Khamosh Kamre Mein,
Mere bister pe bikhri Hui Kitabian Bheg jati hain_!i!
KiSi rOz miLo tAnhAi mEiN,
kiTNi bAtAiN kEhNi hEiN,
tErA hAtH pAkAr kAr rOnA hAi,
tEri aAnKhOn mEiN kHoNa hAi,
pHiR aAnKhOn sEy kUcH kEhNa hAi,
oR lAfzOn nEy chUp rEhNa hAi,
aAnSu bHi tO ziDd kArtAy hEiN,
INhAiN tErAy sAmnAy bEhnA hAi..!
kiSi rOz miLo tAnhAi mEiN,
KhUwAbOn kI eK pArchAi mEiN.../
ae chand tu bhul jayga garur se chamakna,,,

jis roz dekhy ga ik jhalak mere yar ki,,,
Tum Mujhe Kabhi Dil Kabhi Aakhon Se Pukaro
Ye Hothon Ke Taqaluf To Zamane Ke Liye Hain
Abhi main dekh kar aya hun us ki ankhun main Ansoo..!!

Tumharey Shehar main Saelaab aaney wala hai..!!!
Khwab ka aitbaar kr loo''n kya?
Ankh per inhisaar kr loo''n kya?

Maine kuch b nahin kaha tujh sy.
Aur bhi ikhtisar kr loo''n kya?

Teer aa kr mere qareeb gira.
Kya kro''n, aar paar kr loo''n kya?

Tu mohbt nahin,Aqeeda hy.
Main tujhey ikhtiyar kr loo''n kya.

Aik manzar bnanay wala hun.
Is mein shamil bahaar kr loo''n kya?

Zindgi to guzaar skta hun!
Zindgi ko guzaar kr,,, loo''n kya?

Dil b khamosh ho gya Faisal.
Raftagaa''n mein shumaar kr loo''n kya?
Suntay Hain Kay Mil Jatee Hay Her Cheez Dua Say
Ek Roz Tumhein Maang Kay Dekhain Gay Khuda Say
Duniya Bhi Mile Hay Ghum-E-Dunia Bhi MIla Hay
Wo Kyun Nahi Milta Jisey Manga Tah Khuda Say..
Wo Kehta Tha

Suno!

Mohabbaton Main Duuriya''''n

Mohabbton KoAur Mazboot Bana Deti Hyn

Lekin

Usay Shayad Khabar Nahi Hy

K Faasley

Dilo''''n Per Baney Naqsh Bhi Tou

Dhundla Detey Hyn .... !!!
Jo Chala Gya Mujhe Chor K Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka
Wohi Dorian Wohi Fasle Main
Kabhi Na In Ko Mita Saka.
Kya Use B Mujh Se Pyar Tha
Ya Tabussum Us Ka Shuar Tha
Wo Koi Ajib Sawal Tha Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka
Meri Zindagi Ka Sakoon Tha Wo Mere Dil Ka Ik Janon Tha
Meri Bandagi Mera Pyar Tha
Yehi Bat Na Main Bta Saka
Yehi Sochta Tha Main Raat Bhar wo Kabhi Mile Ga jo Raah Par
To Karon Ga Us Se Shikaitain
Wo Mila To Lab Na Hila Saka... ;->