main yeh nahi kehta
key koi dil main na samaye
main yeh nahi kehta
key koi Aarzoo na ban paye
par.......! itna zaroor kehna hai
agar samajh sako
key dil main kabhi kisi ko
itni jagha na do
key dil key liye dharakna hi
mushkil ho jaye
Dedar ho jay tera yahi dua hai ab to
Kuch samay mily undhar yahi dua hai ab to
Itna paicheda to nahi us k loutny ka rsta
Lout ay jald wahan se yahi dua hai ab to
Rook Naa Jana Khoof Say Beech Rah Mein Khuda Ki Baargah Mein Gir Kar Ro Lenaa Khud Ko Girnay Na Dena Apni Nigah Mein ...Farishton Ko Kahan Hasil Toba Ki Lazat Khata Karnaa Hay Fitrat-E-Insaan Mein Khushiyan Muqadar Say Milti Hein Yahaan Gham Miltay Nahi Baysabab Is Jahan Mein Khudsaakhtaa Ohaam Say Rakhnaa Mun Ko Khali Khudaa Miltaa Nahi Behs-O-Taqraar Mein Duniya Ki Mehfil Mein Yaad Rakhnaa Nayaab K Tanhai Rehnaa Hay Qaber K Makan Mein...........!!!
mai aksr thak sa jata hu
musalsal sochty tumko
k meri zindagi khali tumhary bin
khud b adhuri c
teri khawhish ki shidat ko sambhaly jab main
be''sudh ho kr gir jata hu bistar pe
to aansu aankh se,
aur dil se
shikway phoot party hain
gilay khud se,
Khuda se
aur tumse karta hu,
muje kyu is qadar
tum yaad aaty ho?