Kitabe dil pe likhte the

Kitabe dil pe likhte the
Kitabe dil pe likhte the kitne he afsane!
Kuch kissey naye the or kuch purane.

Kuch unka jikar jo labhi rang-e-jaan se the karib,
Kuch voh jo aye bhi lagte hai begane.

Kuch aise rut, koi mausam aya,
Khushiyo bhare geet lage gun gunane.

Ajj bhi mera dil iss aas par jinda hai,
Ki ek roz to ayegi vo hum se manane
  

Jun, 04 2010     325 chars (3 sms)     2468 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Bohat Ajeeb hain ye Bandishian Muhabbat ki...

Na uss ne Qead mein rakha...

Na hum Farar hue...
Abhi Socha Hi Tha Dhoondo''n
Uffaq k Paar Ka Raasta

Tou Dil Bola Mera Socho Kabhi
Ka La-Pataa Hoon Main !!!
Bohat masroof ho shayad...!

Hamrai yaad bhi tum ko nahin aksar satati ab,

Bicharnay tak se milnay ka,

Koi wada nahin kartay,

Koi khat bhi nahin likhtay,

Gila karna to chahtay hain,

Tumhari berukhi ka hum,

Magar us k liay kuch waqat bhi darkar hota ha,

Jo tum ko mil nahin sakta,

Kiyon k,

Bohat masroof ho shayad...!
kaise mien maan loon k koi mera nahi raha...

jab tak khuda ki zaat hai,tanha nahi hoon main.
Uss naie kaha aao,
uss naie kaha tehro,
muskraoo kaha uss naie,
mar jao kaha uss naie.
Main aaya,
main tehar gaya,
muskraya,

aur mar bhi gaya!!
Wo tanha rehna Ghabrana
Or ankh mai anso bher lana
Kab sath humara chootey ga
Ees soch ko ley k der jana

Khood hath laga ker chahrey pey
Mughy sooch mey la ker shermana
Yoo bhool k doniya wallloo ko
bus naam mera hee dohrana

ees ko wo ibadet kehti he
wo kiss oljhan mai rehti he
bus piyar jatati rehti he
or derd bharati rehti he
yadoo mai khoyee khoyi see
ansoo hee bahati rehti he
janey ye kasi shidat he?
Hathoo ko jalati rehti he?


Tahreer kahi koch likhti he
Or Khood ko sonati rehti he .....;->
Khushbu Ki Tarah Dil Mey Basa Kar Usay Dekhun,


Haathon Ki Lakeeron Mey Saja Kar Usay Dekhun,


Dil Usko Chahay Bhi Zara Dair K Liye,


Khud Ussay Larun Aur Phir Mana Kar Usay Dekhun,


Sheeshay Sa Dil Hai Uska Kabhi Jo Dukh Jaaye,


Palkon Se Dukh Chun Lun Aur Phir Usay Dekhun,


Uski Khatir Main Zeher Hans K Pee Lun,


Jab Jaan Nikal Jaaye Tab Phir Usay Dekhun,


Uske Lot Anay K Intezar Ki Khatir "Kash",


Sari Umar Mey Bita Dun Aur Phir Usay Dekhun.../
Zehan ko afkar ankhon ko pani daay giya
Jatay jatay wo mujay unmit nishani day giya
Waqt Ne Sari Kahani Hi Badal Dali

Pyar Ka Naam Jo Aata Hy Dar Lgta Hy

Zakham Kuch Aise Bhi Apno''n N Diye Hyn Mujh Ko ''Faraz''

Ab Koi Haath Milata Hy Tou Darr Lgta Hy
Vo khush hue jab hum dil se roye,
Raat bhar jage to vo chain se soye,
Unhe de di humne phoolo ki sajja,
Aur sare katein apne path par boye
Mohabat k Talash me Pyar Na Mila,

Dubti Hui Naav Ko Kinara Na Mila.

Kuch Log Thode Achhe Zarur Lage,

Magar Tumse Achha Koi Yaar Na Mila.
tumhein jab kabhi millain fursatian meray dil se boojh uttar do
mein bohat dinoon se udaas hon mujhay koi sham udhar do
mujhay apnay roop ki dhoop do k chamak sakain meray khal o khad
mujhey apnay rang mein rang do meray saray zang uttar do