Us Ne Ek Bar Mujh

Us Ne Ek Bar Mujh
Us Ne Ek Bar Mujh Se Poocha
K Batao
Mujhe Kitna Yaad Kerte Ho
Mai Ne Kaha
Bohat Zyada
Us Ne Doobara Sawal Kiya
K Phir Bhi Aakhir Batao To Sahi
Mai Ne Kaha
Bohat Bohat Bohat Zyada
Mera Jawab Sun Ker Wo Zer-e-Lab Muskurayi
Aur Kaha
"Ab Mujhe Se Bhi To Poocho"
Aur Jab Mai Ne Poocha
To Us Ki Muskurahat Gehri Hoti Chali Gayi
Aur Halka Sa Gulabhi Rang
Us K Chehre Pe Aa Ker Guzar Gya
Us Ne Mujhe Doobi Hoi Nazron Se Dekha
Phir Palken Jhuka Ker Boli
"Pagal"
Yaad To Unhe Kiya Jata Hai
Jinhe Aadmi Bhool Jaye
  

Jun, 05 2010     523 chars (4 sms)     2938 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

maangi thi hum ne khuda se mohabbat ki zindgi.

khuda ne to tum ko hi mohabbat bana diya...!!!
Peheli nazar main hi koi hamare dil main aake baitha hai,
Usse harpal dhund rahe hai, aur woh to pardes jaake baithi hai,
Socha, aaj chand ko dekhakar unhe yaad kar le,
Par woh bhi kambakht kahi badalo main chhup ke baitha hai.......
Arzoo-e-Dil ne hamay diwana bana diya.

Roay na thay hum kabhi, Humain rolla diya.

Hum ne to har waqat yaad kiya aap ko lakin,

Aap ne yaad karte karte Zamana laga diya..
Chehre Per Banawat Ka Gussa,
Aankhon Say Chalakta Pyar Bhi Hai,
Is Shauq-E-Ada Ko Kya Kahiye
Inkar Bhi Hai Iqraar Bhi Hai.
Mahobbat ki yaad main hamne banwaiii thi uchii minaare kya pata ye khuaab hai unke khayaalo ka ab ham sochte hai jab khuaab main ye haal hai deedaar-jalwe-husn yaar kya hoga...............
SulaahK Zamane Main

Mujh Ko Aisa Lagta Hai

Wo Agar Bichar Jaye

Tou Sirf Itna Dukh Hoga

Jitna Aankh Khulne Par

Khwaab Tuut Jane Ka

Par Ajab Tamasha Hy

Wo Agr Kabhi Mujh Se

Yun Hi Rooth Jati Hy

Tou Kainaat Ki Har Shey

Tuut Phoot Jati Hy
Anjana sa sapna palkon mein khelta hai,
andekha sa koi apna aankhon mein basta hai,
jiski pyaari si muskurahat saare ghamon ko bhula de,
aise kisi saathi ka saath jannat dikhata hai,
maine suna hai...chahat ka safar aise hi shuru hota hai!!!
Yeh Aalam hy Gham Furqat se in k Natwanon ka

k AahoN Main Rasai hy na Ashk0n main Rawaani
Wo Bulayen To Kya Tamasha Ho
Ham Na Jayen To Kya Tamasha Ho

Ye Kinaron Se Khelne Wale
Dub Jayen To Kya Tamasha Ho

Bandaparwar Jo Ham Pe Guzri Hai
Ham Batayen To Kya Tamasha Ho

Aj Ham Bhi Teri Wafaon Par
Muskurayen To Kya Tamasha Ho

Teri Surat Jo Ittefaq Se Ham
Bhul Jayen To Kya Tamasha Ho

Waqt Ki Chand Satein ‘Sagar’
Laut Ayen To Kya Tamasha Ho.
Satao Ge Humko,

Rulao Ge Humko,
Magar Kis Tarah Bhula Paoge Humko.

Allah Jane Kya Haal Hoga Tumara,

Jab Kafan Mei Lipta Hua Paoge Humko
Na Khushi Na Koi Tamanna He Ab

Bas Apne Hi Saye K Sang Rehte He Hum

Kaise Kahe Kaise He Hum

Bas Yu Samajhlo Aap Khush He To Khush He Hum
yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein