Mohabat rog hoti hai kaha bhi tha
Rula k kud bhi roti hai kaha bhi tha
Isay tum dil ki dharti ka pata mat do
Yeh us mai dard boti hai kaha bhi tha
Marhala-e-mohabat mai khushi k bad
Ghamon ki rut bahut nazdeek hoti hai kaha bhi tha
Luta kar dil ko ronay say hai kia hasil
Tmhara Ahshk bahut nayab moti hai kaha bhi tha
yeh tum ko sir say paon tak bus rakh kar daygi
bahut bay dard hoti hai kaha bhi tha
Barson Ke Baad Hoti Hai Mulaqat
Phir Bhi Rehti Hai Dil Me Dil Ki Baat
Nazron Se Karna Padta Hai Pyaar
Par Nazar Milane Ke Liye Bhi Karna Padta Hai Intezaar
Zindagi Yun Teri Chahat k Naam Kerdi
Jese Ghaney Darakht k Neeche Shaam Kerdi
Laut Jate Hyn Parinde Bhi Shaam Hote Hi
Hum Ne Tou Har Shaam Hi Tere Naam Kerdi