hamari khamoshi

hamari khamoshi
hamari khamoshi hamari fitrat hai
aapki aankhen hamari chahat hai
ye zindagi jo itni khubsurat hai
uski wajah bas aapki muskurahat hai
  

Jun, 03 2010     138 chars (1 sms)     5427 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ae Baad-e-Saba

Us Nagar Main ja

Usay Itna Bata

Ek Dost Tera

Kehta Hy Sada

Mujhy Apna Bana

Chahat Ko Jaga

Ae Jaan-e-Ghazal

Teri Baat Azal

Tere Hont Kanwal

Teri Aankh Ghazal

Ae Jaan-e-Wafa

Khud Tu Hi Bata

Kab Tere Siwa

Mujhe Chain Mila ... ???
Milay Na Tujhay Dukh Zindagi Mein,
Phool Ki Tarha Mehkay To Zindagi Mein,
Khush Rahay Too Sada, Dua Hay Meri,
Koi Gham Na Bahtkay Teri Zindagi Me
mere dukh kii koii davaa naa karo
mujhko mujhse abhi juda na karo


ye sikhaayaa hai dostii ne hamein
dost banakar kabhi wafaa na karo


ishqq haii ishqq, ye mazaak nahiin
chand lamhon mein faisala na karo


aashiqii ho yaa baandagii ''faakir''
bey-dilli sse to ebatidaa na karo
Buhat Chup chup Se Rehtay Ho Na Bantay Ho,

Sanwartay Ho Na Koi baat Kertay Ho Bhari Mehfil Main Bhi Akser Humesha Khoye Rehtay Ho

Udassi Aankh Main Le Ker Her ik Chehray Ko Taktay Ho

Koi jab Yaad Ata Hai To Thundi Aah Bhartay Ho
To Khul Ker Kion Nahien
Kehtay Kisi Se Payar kertay ho

Kahien Dil Chorde Aye
Ho ??????????
hum wafadar thy shayad es laye nazron se gar gaye.

shayad tujhe talash kisi bewafa ki thi.
Ajab baat hai woh mujh say khafa bhi raha
Woh doston say mera haal poochta bhi raha
Ajeeb rang mein ki us nay guftagu mujh say
Labon pay chup thi nigahon say bolta bhi raha
ye sitam nahi tu aoor kia hai "ami"

woh khawabon ma b ata hai kisi aoor k sath..
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
jab chotay thay tab baray honay ki bari chahat thi,
par ab pta chala k

"adhuray ehsas or tutay sapno se,
adhuray homework or tutay khilonay achae thay...!
Kahan Say Laoun Hunar Ab osy Manany Ka,
Koi Jawaz Nahi Us K Roth Jany Ka,
Mohabbaton Main Saza Bhi Mujhhe Ko Milne The,
K Jurm Mainy Keya Rabty Barhany Ka,
Kyu unki tamana mai shamil nhi hain hum such tu ye hai k unke Qabil nhi hum,


Ehsan hoga bhule se agr yad karen wo,


Jin ki yad se ek pal b gafil nhi hum.../
Tumhe lakho ki bheed me pechanta hai koi,
din raat khuda se tumhe mangta hai koi,
tum khud se vakif nahi honge itne,
tumhe tumse bhi jyada janta hai koi.