yaadon ki kimat

yaadon ki kimat
yaadon ki kimat woh kya jane,
jo khud yaadon ko mita diya karte hain
yaadon ki kimat to unse pucho
jo yaadon ke sahare jiya karte hain
  

Jun, 03 2010     138 chars (1 sms)     2987 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"Yaar ne dil ka haal batana chhod diya,
humne bhi gehrayi mein jana chhod diya,
jab unko hi koi doori ka ehsaas nahin,
to humne bhi unko ehsaas dilana chhod diya."
usko ankhon k dareeche se juda kaisay karoon,

wo meri zaat k har pehlu se bayaan hota hai...
bohat hain khwaab magar khwaab hi se kia hoga

hamaray beech jo hayal hai woh haqeeqat hai
Ek muddat hui ek zamana hua
Khaak-e-gulshan mein jab aashiyana hua

zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujrimana hua

phool jalte rahe chaand hansta raha
aarzoo ka muqammal fasana hua

daag dil ke shahanshah ke sikke bane
dil ka muflis-kada jab Khazana hua

rah_bar ne palat kar na dekha kabhi
rah-o-raste ka nishana hua

ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aastana hua

dekh mizraab se Khoon tapakne laga
saaz ka taar marg-e-tarana hua

pehle hoti thi koi wafa-parvari
ab to "Sagar" ye qissa purana hua...........
Rishto me pyaar ki mithas rahe,

kabhi naa mitne wala ehsaas rahe,

kehne ko to choti see hai ye zindgi,

lambi ho jayegi,

agar aap jaise pyare dost ka sath rahe.
Hazaron Tukery Kiye Us Ne Merey Dil K Magar Faraz..



Khud Hi Ro Para Her Tukrey Per Apna Naam Dekh Kr....!!!
Bohat masroof ho shayad...!

Hamrai yaad bhi tum ko nahin aksar satati ab,

Bicharnay tak se milnay ka,

Koi wada nahin kartay,

Koi khat bhi nahin likhtay,

Gila karna to chahtay hain,

Tumhari berukhi ka hum,

Magar us k liay kuch waqat bhi darkar hota ha,

Jo tum ko mil nahin sakta,

Kiyon k,

Bohat masroof ho shayad...!
Milne ka waada unke mon se to nikal hi gaya

MOHSIN ,,

Hum ne poochi jaga to hans k kaha khawab main aa jana ,,
Takdeer k hum staaye gaye hain,

Pyaar mein har taraf se thukraaye gaye hain.

Aaj hum gum k musaafir hain,

Magar aise hum the nahi banaaye gaye hain.
Intezar Hota hai har Sham tera
Her raat kati hai le Kar Naam Tera
kafi Dino Se Dil Main Ek Umeed Hai
Kabhi Tou Ayega Pyar Bhara Paigam Tera
Zindagi k
Is Bayabaan Mein

Tum Abr-e-Baraan
Ho Mere Liye

Aur

Abr Bhi Aisa K

Jo Puur Puur Ko
Bhigo Daley .. !
Teri Nazar Ko Fursat Hee Na Mili Sachai Ki
Werna Mera Marz Itna B La Ilaj Na Tha
Humne Wahan B Mohabbat Banti Hai
Jis Shehar Mein Mohabbat Ka Riwaj Na Tha