Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
Kis Baat Ki Sazaa
Wo kis baat ki mujhko sazaa deta hai,
Meri muskurati hui ankhon ko chalka deta hai.
Ek zamane se khabar bhi nahi teri,
Koi is tarah bhi kya apne pyaar ko bhula deta hai
Raaste aise ho jo chalne ko majboor kare,
Maikhane aise ho jo pene ko majboor kare,
Jab maut ka daman thamna chahe koi to,
Dost aisa ho jo jeene ko majboor kare.
RaaStOn Kii Marzii hAi
Be-Zameen lOgon Ko
Be-Qarar AankhOn Ko
Bad-NaSeeb QadmOn Ko
Jis Traf Bhi Ley jAien
RaaStOn Kii Marzii hAi
Be-NiShaan JaZeerOn Pey
Bad-gUmaan ShaarOn Mein
Be-Zubaan mUSafir Ko
Jis Traf Bhi Bhatka dien
RaaStOn Kii Marzii hAi
ROk Lien Ya Barhney Dien
Thaam Lien Ya Girney Dien
Vasl Kii LaKeerOn Ko
tOr Dien Ya Milney Dien
RaaStOn Kii Marzi hAi
AjnAbii Ko Ley Kar
hUmSaffar Bana Daalien
Saath Chalney WalOn Kii
Raakh Bhii Ura Daalien
Ya mUSaafatin Saarii
Khaak Mein Milla Daalien
RaaStOn Kii Marzii hAi ...!!!