Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gee
Ya meri tarah ashq bahati ho gee
Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gee
Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Meray matam ki sada arsh hilati ho gee
Jis shaam mein mere lab per aapka naam na aaye,
Khuda kare ki kabhi aisi shaam na aaye,
Ae jaane wafa yeh kabhi mumkin nahin ki,
Afsaana likhoon aur aapka naam na aay