Gulshan ka har khwaab

Gulshan ka har khwaab
Gulshan ka har khwaab bahaaron mein qaid hai

lagta hai dariya bhi kinaro mein qaid hai

ab uski yaadon se nikla nahi jata

koi hai jo dil ki diwaro me kaid hai.
  

Jun, 02 2010     167 chars (2 sms)     3159 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

ehsas na kar in jazbon ka,nazron se gira be-shak lekin,,

jeena bhi mujhy dushwar lagy,itna to nazar andaz na kar..
Khamoshi Ka Asar
Gehra Hota Hy
Awaaz Sy

Ye Bohay Kuch Keh
Jaati Hy Apne
Andaaz Sy ... !!
Main Tujh Ko Chah Ker Kese Kisi Ki Chah Karun

Tujhe Nibah K Kyun Kr Koi Nibah Karun

Tu Zindagi Hi Nahi Meri Bandagi Bhi Hai

Kisi Aur Ko Soch K Kese Koi Gunah Karun
Tu WOh Zalim Jo Dil Mein Reh Kar Bhi Mera Na Ban Saka ''Ghalib''!

Aur Dil Wo Kaafir Jo MuJh Mein Reh Kar Bhi Tera HOgaya~!!
Chor k Tum ko janay wala

Ik Din looat k aye to

Yaad ka Anchal Khushboo ban kar

Phir Tum per Lehraaye to

Koi Purana Zakhm Kuraiday

Meetha Dard Jagaaye to

Guzray Pal ka Dilkash Sapna

Ankhoon mein bas jaye to

Dil per Zakhm laganay wala

Marhum lay kar aye to

Maaan ka Sheesha tornay wala

Phir se Jornay aye to

Dhoop mein chor k janay wala

Saya ban k aye to

Dil se Dil ki raaye na poochoo

Dil pagal ho jaye to

Chor k Tum ko janay wala

ik din loat k aye to?????

Kabhii jo hum nahii hongey
kaho kis ko batao gey ???
woh apnii uljahane''n saarii
woh be''chenii mein doobay pal
woh aankhon mein chupay aansoo
kise phir tum dikhao gey ???
kabhii jo hum nahii hongey
buhut be''chain ho gey tum
buhut tanha reh gao gey
kabhii jo hum nahii hongey
abhii bhii tum nahii samjhay ???
hamarii un-kahii baatein
magar jab yaad aayein gey
buhut tum ko rulaai''n gey
buhut chaho gey phir milna
hamein na dhoond pao gey
kabhii jo hum nahii hongey ... !
Mere Etmaad Ki Is Se Barh Kar Aur Kia Daleel Hogi.



Jo Tumhari La-Taluki Ko Masroofait Sumjh Betha...
Har aah tabasum ban jaye
har ashq sitara ho jaye
duniya hi badal jaye apni
tera ek ishara ho jaye
mujy teri judai ne
yahi meraj bakhshi hy
k main jo lafz likhta hoon
wo saary lafz roty hain
k main jo harf bun'ta hoon
...wo saary bain karty hain
mery sang is judai main
mery alfaz marty hain
sabhi tareef karty hain
meri tehreer ki lekan
kabhi koi nahi sunta
maery alfaaz ki siski
falak b jo hila daaly
mery lafzon main hy shamil
usi taseer k aansu
kabhi dekho mery hamdam
MERI TEHREER K AANSU
Ankhon mein uter ker


dheery dheery


puraaney gham


Palkon pey


nanhy nanhy


sitarey piro gaey


Ab bachpaney ki neend to


ek khwab ho gaee


Wo din kanhan


k raat huee aur so gaey....
Ilfaz kuch nhi kahte andaz-e-bayan bulta ha
Har shab mere ander daba insan bulta ha
Baton mein uski zara b pyas nahi hoti
Bus une ik pyasa insan bulta ha
Hum itnay khubsurat to nhi hain "Jaana"

Magar haan jisay Aankh bhar k daikh lain usay uljhan main daal detay hain. . .