Aankho Me Aansu Bhi

Aankho Me Aansu Bhi
Aankho Me Aansu Bhi Hai Muskaan Bhi
Dhaago Me Gaathe Bhi Hai Sandhaan Bhi

Ye Dil Me Kaisee Kasak Hai…
Meri Chaahat Ajeeb Hai,Naadan Bhi

Sawarte Bhi Gaye Kabhi,Kabhi Bikhre Bhi
Khamoshi Hai Kabhi,Kabhi Tanhaai Bhi

Ye Kaise Aalam Me Rehne Lage Hum
Hasaate Hai Apne Aapko,Kabhi Rulaate Bhi

Dhoka Detaa Hai Kabhi Waqt,Kabhi Kabhi Kismat Bhi
Hum Inkaar Karte Hai Kabhi,Kabhi Izhaar Bhi

Naa Chedo Hume Hum To Gum Ho Chuke
Khuli Kitaab Bhi Hai Aur Band Kahaani Bhi
  

Jun, 04 2010     479 chars (3 sms)     2078 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Tujhko bhi jab apni Qasmain
apne waadey yaad nahi Aey be''wafa !


Ham bhi apne khuwaab teri aankh0n mai rakh kar bh0ol gaye . .
Niqaab ko Be-Niqaab kar de
Hijaab ko Be-Hijaab kar de

Qasam hai Tujh ko Masoomiyat ki
Namaz-e-Fitrat Kharab kar de

Wo Qais hi tha jo Ulajhta raha
Jaib-o-Daman ki Dhajjiyon se

Mai us Junoon ki Talash mai hoon
Jo Chaak Tera Niqaab kar de

Tere Karam ke Ma''amley ko
Tere Karam per Chorta hoon

Meri Khataein Shumaar kar k
Meri Saza ka Hisaab kar de
tere khoobsoorat aankhon mein aansoo achche nahin lagte
chaahe jitnaa bhi roye but kabhi sachche nahin lagte
Kar ke wada wafa kaa wo u mukar gaya,

Ek Chote se tufaan se wo kitna dar gaya.

Pata nahi koi majburi thi uski,

Ya fir is khilone se bhi uska dil bhar gaya
Tumhain jana ijazat hai
Koi b rasta chun lo

Kesi ki muntazir tehro
Ya hum ko alwida kehdo
Be-zabano ko jub wo zaban deta hay,
Parhne ko phir wo QURAN deta hay,

Bakshne pay aata hay jub ummat k gunahon ko,
Tohfay mein gunahgaron ko RAMAZAN deta hai
Wo Khush Hai Per Shayad Humse Nahi
Wo Naraz Hai Per Humse Nahi

Kon Kehta Hai Unhay Mohabbat Nahi
Mohabbat Tu Hai Per Shayad Humse Nahi
Teri Mohabbat Bhi Ajeeb Thi

Tera Faiz Bhi Tha Kamal Per

Kabhi Sab Kuch Mila Bin Talaab

Kabhi Kuch Mila Na Sawal Per
na milta Gham to barbaadi ke afsaanay kahaan jaatay

agar duniyaa chaman hoti, to viraanay kahaan jaatay

chalo achaa huaa apnon mein koi Ghair to niklaa

agar hotay sabhi apanay, to begaanay kahaan jaatay
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.
Ham ko maloom hai kaya dast e hinaie de ga
qurb boyen ge to fasl e judaie de ga
aankh neelam ki jism kaanch ka dil pather ka
apny shaahkar ko kon itni safaie de ga
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!