Wehshaton ke mor par

Wehshaton ke mor par
Wehshaton ke mor par le aai mujh ko zindagi
Aik pal bhi tere bin na bhai mujh ko zindagi

Mukhtasir se waqt main dekhi bahar-e-arzoo
Char din ko gulsitan main laai mujhko zindagi

Apne hi andar utarnay ka mujhe rasta mila
Tujh se milker de gai gehrai mujh ko zindagi

Justujoo main chand ki, urnay ki koshish kar to lee
Laikin uske baad na raas aai mujhko zindagi

Ab to chunnay hain mujhe yadon ke moti umr bhar
De gai soghat main tanhai mujh ko zindagi
  

Jun, 04 2010     468 chars (3 sms)     2413 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Usay janay ki juldi thi
Mujhe us ne bataya tha
Mohabbat karne wale pyar main dhoka nahi karte
Jub koi baat karta ho usay toka nahi karte
Jisay janay ki juldi ho usay roka nahi karte
Unhi batoon batoon main
Mujhe ab yaad aya hai
Usay janay ki juldi thi
Main teraa na hua haqeeqat me
ek fasaana magar chaahunga
jhooth hi kehde ke tu meri hai
taa-umr meri jee jaaunga.
us k dil mein thori si jagha mangi thi

amir

us ne tanhaiyon ka shehar mere naam kar diya..,
Aanson Mere Tham Jaein To Shoq Se Jana..




Aise Mein Kahaan Jao Ge Barsat Bohat Hai....
kisi ki yaad ne zakhmoon se bhar diyqa hai seena mohsin!

her eik saans shak hay k aakhri ho gi.
Saath rehete rehete waqt unhi guzar jayega,
door hone ke baad kaun kise yaad aayega,
jee lo yeh pal jab hum saath hai,
kal ka kya pata waqt kaha le jayega.
Ishq kar deta hai bekrar, bhar deta hai pathar k dil mein pyaar, har 1
ko nahi milti zindagi ki ye bahar, kyunki ishq ka dusra naam hai
intezar..... ....
Log meri
MOHABBAT ko
Fakeeri
samajhty hain

~saab~

Ye sach ha
main ussey
pany ki
BHEEk
mangta hu
teri bhegi hui tehreeron ka kabhi donga tujhe jawab,,

bus kisi apne ki di hui thokr se sambhal jaon zara...
mujhy her waqat rulata hy had se ziyada wo"sahil"

hum jisko tasawur mein b rony nehi dety,
Tere bare mein jab socha nahin tha

main tanha tha magar itna nahin tha

Teri tasveer se karta tha batein

mere kamre mein aaina nahin tha

Samundron ne mujhe pyasa hi rakha

main jab sehra mein tha pyasa nahin tha

Manane roothne ke khel mein

bichar jayenge yeh socha nahin tha

Suna hai band kar li usne aankhen

kayi raaton se woh soya nahin tha
kabhi wo hum pe jaan dia karti thi
jo kehtay they wo maan lia karti thi

kal anjaan ban kar paas se guzar gai
Woh jo door se pehchaan lia karte thi…