Wo Day Raha Hai Dilasay

Wo Day Raha Hai Dilasay
Wo Day Raha Hai Dilasay To Umar Bhar K Mujhay,
Bichar Na Jaye Kahin Phir Udaas Kar K Mujhay,


Jahan Na Tu Na Teri Yaad K Qadam Hongay,
Dara Rahay Hain Wohi Marhalay Safar K Mujhay,


Hawa-E-Dasht Mujhay Ab To Ajnabi Na Samajh,
K Ab To Bhool Gaye Raastay Bhi Ghar K Mujhay,


Dil Tabah Teray Gham Ko Taalnay K Liye,
Suna Raha Hai Fasanay Idhar Udhar K Mujhay,


Qaba Zakham Badan Par Saja K Nikla Hoon,
Wo Ab Mila Bhi To Dekhay Ga Aankh Bhar K Mujhay,


Kuch Is Liye Bhi Main ussay Bichar Gaya "Umer"..
Wo Door Door Say Dekhay Theher Theher K Mujhay...
  

Jun, 07 2010     573 chars (4 sms)     3691 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Pyar me mila har gum uphar hota hai,
pyar wo hota hai jisme intjar hota hai.
Sadiyon tak intjar karte hai wo
jinhe apne pyar pe aitbar hota hai.
Suno ...!!

Tumhay barsti hoi barishain...

Bohat pasand hain na..

To....

Aao dekho...

Aaj mukabala hai...

Rim-jhim barasti barish ka...

Mere aanson se...!
jab wo tumhri mohabbat hay
tu main q noor-e- nazar tha

jab wo tumhri shar-e-kay
tu main q hamsafar tha

jab wo tumhri raazdan hay
tu main q hamraz tha

jab wo tumhri jan hay
tu main q jana-e- jana tha
wo kehti hAy... TumhArAy sArAy khAwAb Q AdhorAy Hain


Main kehtA hon k meri jaan tum inhAin takmeel dAy Do.
Kabhi na tootnay wala hisar ban jaon

Woh mujh mai rahnay ka faisala to karay
aaj barish ka jo imkaan hai dil ye kahta hai.

yaad kar k wo mujhy roya ho ga kahain phir.
Dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi,

Mere khwabon ko mehka gaya koi,

Hum to anjan raston pe chal rahe the,

Achanak hi pyar ka matlab sikha gaya koi...............;->
tujh ko khaber na ho gi k danish k bawjood.

barson tare khyaal main pagal rahe hain hum.
Ek Samundar hai k mere muqbil hai,
Ek Qatra hai k sambhala nahin Jaata.
Ek umr hai k guzarni hai tere bagair
Ek lamha hai k Guzara nahin Jaata...!!
kissay Batain k Jeevan k kar_E_Zaar main Hum


Ajeeb Haray Howe Log Hain

k hr Lamha

shakisat-E-Zaat ki tasveer mein mUQeed hen
Meri zameen par jo chandni hai
Woh sab teri hai
Meray falak par jo dilkashi hai
Woh sab teri hai
Jo titilion k paron pay likhay hain khat merayhain
Yeh jugnoun mein jo roshni hai
Woh sab teri hai
Jo shab pay chai khamoshian hain
Woh sab meri hain
Sehar mein jitni bhi naghmaghi hai
Woh sab teri hai
Jo teri muthi mein khushboain hain
Woh sab meri hain
Jo meri aankh meein roshni hai
Woh sab teri hai
Karni mujhe khuda se kuch fariyad baki hai,hame unse kehni kuch baat baki hai,maut aayegi to keh denge zara ruk abhi maray dost se ek mulakat baki hai.