ek chhoti si nazar

ek chhoti si nazar
ek chhoti si nazar wo mujhpay bhi daal day,

ay rab e zuljallal usay itna khiyaal day,

itna bhi kia arooj k wo mill hi na sakay,

wo ho sakay mera usay itna zawal day.
  

Jun, 03 2010     175 chars (2 sms)     2769 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aaj ghum-e-tanhai mia koi meri ankhon se ansuon k sath gir rha hai...

agar wo shakhs bhut azeez hai tumhe tu un ansuon se bujha lo apni payas...
andhari rahoon k is safar mai
k jis k unwan hai zindagi
bohut se doshwar marhalain hain
Ghamoon k tareek silsilay han
Dukhoon se chalne har khoshi hai
bohut he mushkill hai humdam kuch aesay rastoon par tanha chalna
magar jo mujha ko cala rahi hai
tumhari yadoon ki roshni hai
Main Muskurata tha Loghon k Gham dekh Kar Magar ab
Har Waqat mere Ashiyaane pr Ghar ka Qiyaam rehta hai

Tu muj se Bichar Jaye Main Soch Saqta nahi tha
Main samajhta tha Har koi Apna Kalaam kehta hai

Zindagi Bhar inkaar Karte RAhey Naam Sharaab se Nasir
Magar ab har waqat hathon mein Jaam rehta hai..!!!
Bohut royi Hain shayad Aankhen Tumhari






meri khatir Aankhon mein Thora kajal laGa Lo
Hazaaron Mashghaly Hain Jo Mujhy Masroof Rakhty Hain....

Mgr Mohsin Woh Aesa Hai K Phr Bhi Yaad Aata Hy....
Kis Terha Samjhao'n Ye Baat
Ehl-E-Dunya Ko

Teri Talaash Ko Ye Dunya
Awaargi Samajh Bethi Hy ...
Ye baat samajh me aayi nahi,
Aur mummy ne samajhai nahi.

Mai kaise mithi baat karu?
Jab mithi chiz koi khai nhi.
Ye chand kaise maamu hai?
Jab mumy ka wo bhai nahi.

Kyu lambe baal hai bhaalu ke?
Kyu usne triming karai nahi.
Kya wo bi ganda bachha hai?
Ya jungle me koi naai nahi.

Nana ki biwi jab nani hai,
Dada ki biwi jab dadi hai.
Papa ki biwi kyon papi nahi?

Samundar ka rang kyu neela hai?
Jab neel kisi ne milai nahi.
Jab school me itni neend aati hai.
Toh kyu bed waha rakhwai nahi?

Ye baat samajh mein aayi nahi
Aur mummy ne samjhai nhai.

Aaj hum bhi ek nek kaam kar aaye,
dil ki wasiyat kisi ke naam kar aaye,
pyar hain unse jante hain woh,
majburi thi jo jhuki nazron se inkar kar aaye!!
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
Ek din inhi kabro mein meri laash hogi......
Khuda kasam us din to sabse udaas hogi.......
Phir tujhe mujhse milne ki aas hogi....
aur tu behad hataash hogi.......
Dil ki nazuk dhadkano ko
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya

Jab se mila hai tera pyaar dil ko
Gham ne bhi muskurana sikha diya.
Jab apne aap se kat ker jiya hoon jaan-e-Fareed
To phir main tujh se taaluk bahaal kya kerta

Jise badan ki nahin pyaar ki zaroorat thi
Woh badnaseeb tere khad-o-khaal kya kerta?