Mene chaha use or chaha boht..
ye alag baat he dil jalaya boht.
woh barabar mujhe yaad aata raha....
go k mene use bhulaya boht.
kyun he aisa koi to bataaye mujhe..
door jo b gaya pass aaya boht.
dil labrez he us ki mohabbat se...
jis ne har pal sataya boht.
kya kahoon jo na dil se ye dil mil sake..,
apni koshish se in ko milaya boht.
apne mehboob se mujh ko shikwa nai...
is zamaane ne mujh ko sataya boht.
maan le is haqeeqat ko ab tu Pradeep..
jo he apna wohi he paraya boht..!
Jab ye mehsos hota hai k koi hai
jo meri rooh ki khamoshiyon ko apne alfaz deta hai
mere aansuon ko naam deta hai
jab bhi main muskuraoon to wo apni jaan deta hai
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Suntay Hain Kay Mil Jatee Hay Her Cheez Dua Say
Ek Roz Tumhein Maang Kay Dekhain Gay Khuda Say
Duniya Bhi Mile Hay Ghum-E-Dunia Bhi MIla Hay
Wo Kyun Nahi Milta Jisey Manga Tah Khuda Say..