Agar Zindagi mein

Agar Zindagi mein
Agar Zindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aati na hoti,
Sath gujara hota har lamha,
Toh shayad rishto mein itni gehrai na hoti.
  

Jun, 07 2010     145 chars (1 sms)     2431 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Suno
Hum toot jaein gay
K doori she na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Yeh aankhein bojhal hain
Inhein kis tarha behlaein
Suno!
Hum so na pein gay
Kabhi khush ho na paein gay
Judai maar dalay gee
Suno!
Ye dil tumhara hai
Na tum bhi ab guzara hai
Suno
Kuch waqt do hum ko
Bana lein dost iss ghum ko
Humein maloom hai aakhir
Judai maar dalay gee
Apny MuQaddar Ka To Mil Hi Jaye Ga Ae Khuda,

Wo Cheez Ataa Kar Jo Kismat Mein Na Ho...
jab uska dard mere saat wafa karta hay,
Ek samandar sa meri ankhon se baha karta hay.
uski batein muj ko khushbo ki tarah lagti hay,
phool jaise koi sehra may khilla karta hay.......
Main udasian na saja sakoon
kabi jism-o-jan k mazar pay.
Na diay jalain meri aankh main
mujay itni sakht saza na dai.
Zara dhaikh phool ki pation nay
bikhar bikhar k tamam shab
Tera naam likha hai rait par
koi laihar aa k mita na dai.
Mairay sath chalnay k shoke main
bari dhoop sar pay uthay ga.
Tiara naak naksha hai moom ka
kahein ghum ki aag ghola na dai.
Main gazal ki shabnami aankh say
yah dukhoon k phool chuna karoon.
Meri sultanat mera fun rahay
Mujay taj-o-takht khuda na dai.
Uss naie kaha aao,
uss naie kaha tehro,
muskraoo kaha uss naie,
mar jao kaha uss naie.
Main aaya,
main tehar gaya,
muskraya,

aur mar bhi gaya!!
Silsily jo wafa k rakhte hain
Howsle inteha k rakhte hain
Hum kabi bud dua nahi dete
Hum saleeqe dua k rakhte hain
Un k daman b jalte dekhe hain
Aksar jo daman bacha k rakhte hain
Nahi hain hum shikast k qayel
Hum safeene jala k rakhte hain
Jisko jana ho wo chala jaye
Hum diye sub bujha k rakhte hain
magar!
yeh yaad rakhna tum
khudaa se yeh duaa karna
ke!!
jo acha lage tum ko
woh tum jaisa hargizz na ho
wagarna tum bi ro''ge
mujhe jaise rulaate ho....!
Tune Dekha hay kabhi

Chaand pe Behta Hua Paani?

Maine Dekha Hay Ye Manzar

Uss K Rukhsaar Pe Aksar...!!!
Is desh mein pariyon ki kahani bhi khoob hai







bachche ko usne fir bhookha sula diya
Wo Mujhe Tuut Ker Chahe Ga Aur Bhool Jaye Ga

Mujhe Khabar Thi Usey Ye Hunar Bhi Aata Hai !!
na mila kar udass logo se..

husan tera bikhar na jaye kahen..
Main kahin gum hoon
tum kahin gum ho

phir bhi esa lagta hai
har jagha main hoon

har jagha tum ho.....!!