Woh mera tha yeh batana ajeeb lagta hai
Ab us say ankh milana ajeeb lagta hai
Jo zindagi mein hamara kabhi bhi ho na saka
Ab uska khuwab mein ana ajeeb lagta hai
Baray khaloos say dawat tu us nay bheji hai
Par uski bazm mein jana ajeeb lagta hai
Tha jis ka hath kabhi hamaray hathon mein
Ab us say hath milana ajeeb lagta hai
Alfaz ki shakal main ahsaas likha jata he.
Yani pani ko bhi payas likha jata he.
Mere jazbat se waqif he maira qalm.
Main pyar likhon to taira nam likha jata he.