Be qarar tanhaiyon

Be qarar tanhaiyon
Be qarar tanhaiyon ka silsila reh jayega,

tere mere darmiyan bus Ik khala reh jayega,

ashq beh jayenge sarey dukho k sailaab main,

aur koi paniyo mai jhankta reh jayega,

mujhko mere humsafar aisa safar DAR paish he,

Rasta kat bhi gaya to fasla reh jayega,

log so jayenge khamoshi ki chadar ourh kar,

chand sune angano mai jagta reh jayega,

Jo kabhi us nay parhi thi mujhse mang kar.

naam mera un kitabo mai likha reh jayega . . .
  

Jun, 07 2010     456 chars (3 sms)     3028 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Ye bi aadab hamare hen

tumhe kya maaalom,,

Ham tumhe jeet kr haare hen tum kya maalom,,

Ek tum ho k samjhthte hi nahi humen apna,,

Ek hum k sirf tumhare hen tumhe kya maalom,,
Be-Naam Zindagi ki Haqeqat na Puchiye Faraz,

Kuch Pur-Khaloos Loog Thay,Barbaad Kar Gaye
Tere firaaq ke lamhay shumaar kertay huay
Bikher gaye hain tera intazar kertay huay
Wo keh rahi thi samunder nahin hain aankhain hain
Main un main doob gaya aitabaar kertay huay
JIS NAZAR SE DEKHTE RAHE IS DUNIYA KO HUM,
UN AANKHON MEIN HAMARI KOI PEHCHAAN BHI NAA THI
Socha k bhool jayon ussy
Bhula na paya to kia qasoor
Kaha pyar ki sunayo dastan mujhy
Suna na paya to kia qasoor
Dosti to nibhany ka nam hai
Nibha na paya to kia qasoor
Dil me thi uski tasweer
Dikha na paya to kia qasoor
Dil ko jala deeny waly wo khat
Jala na paya to kia qasoor…?
Osay kabhi na kabhi to bicher hi jana tha
Ye haadsa bhi meri zindagi main aana tha
Wo aik shaks mujhey sari umer tarsay ga
Naseeb us k......k us ne mujhy gawana tha
chaho koi kaisay bikharta hai
Chaman main ja kay khizaan main
Kabhii patton ko dekho tum
Ya phir ik aainaa lay lo
Ussay patthar pay giraa do
Agar mushkil hai tum ko
To kissi khoobsurat phool ko le lena
Ussay hawa kay dosh pay rakhna
To phir tum jaan jao ge
Koi kaisay bikharta hai
Agar yeh bhi na kar sako
To mairay paas aajaana
Mera deedar kar lena
Khabarr yeh ho hee jayay gee
Koi kaisay bikhartaa hai..........
hawao ke chalne se patte sarsarate he
khamosh sannate bhi kuch keh jate he
hum pyar karte nahi har kisi se
jis se bhi karte he dil me utar jate he
tere shahr ki baraish bhi bardi ajeeb hai faraz.

badil ka husan drkha kar barsti nahi...
har darkhan k saath dil tere nam leta hai,
tere khayal meri toti sanson ko tham leta hai,
jb b tanhaiyan satati hain,
tere tassawor mere hath tham lete hai
Gham me hasne walo ko kabhi rulaya nahi jata,
lehro se pani ko hataya nahi jata,
hone wale ho jate hain khudhi dil se apne,
kisi ko kehkar apna banaya nahi jata
phirti to ab b hogi tu nangy paao''n.....

tokna kisi ka aksr yaad aata hoga..