jaatay jaatay wo mujhe

jaatay jaatay wo mujhe
jaatay jaatay wo mujhe achi nishani day gaya
umr bhar dohraaoongi,aysi kahaani day gaya

us say may kuch paa saku?aysi kahan umeed thi
gham bhi wo shayad baraay-e-meherbaani day gaya

sab hawaayen lay gaya mere samandar ki koi
aur mujh ko aik kashti baadbaani day gaya

khayr main piyaasi rahi par us nay itna to kia
meri palko ki qataaron ko wo paani day gaya...
  

Jun, 03 2010     373 chars (3 sms)     2675 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Kuch bikhre sapne aur ankho me nami hai.

Ek chota sa aasman aur umido ki jami hai.

Yu to bahut kuch hai zindgi me

Sirf jinhe chahte hai unki kami hai.
Woh Shukhs K Main Jis Se Mohabbt Nahi Kerta
Hansta Hai Mujhe Dekh k, Nafrat Nahi Kerta.
Dete Hain Ujalay Mere Sajday Ki Gawahi,
Main Chup K Andheroon Main Ibadut Nahi Kerta
Duniya Main Qateel Is Sa Munafik Nahi Koi,
Jo Zulm Tu Sehta Hai Baghawut Nahi Kerta...
taskeen dil k waste wada to kejaye..

humain tu maloom hai aap se aya na jaye ga..
Mit gaye hain sab zakham,
Bas nishaan baaki reh gaya,
Saza puri ho gayi,
Karna gunaah baaki reh gaya...
taqseem-E-Mohabbat Mein Kuch Gham Hee Mile
Phir B Shikayat Hai K Dukh Kam Hee Mile
Ae Zindagi Ek Baat Bata Zara Humy
Kia Dil Dukhane K Liye Tujhe Ham Hee Mile
Ek Arzoo Jo Karon Tou
Naraz Mat Hona

Koi Guftugu Jo Karon Tou
Naraz Mat Hona

Mana K Bohat Duuriya''n
Hyn Magar

Mohabbat Be-intiha Karo''n Tou
Naraz Mat Hona
Apne Husun Ki AaG Me Jal Jane De MuJe

Apne Honto Ki MaYa Ko Pee Jane De MuJe

Mil Jai Meri Rooh Ko Mout ka Sakoon

Apne Jism Ki Qabar Me DaFan Ho Jane De MuJe
1 bat batao raz ki.

Kro us larki se ashqi.

Jis k chehre pe ho sadgi.

Sanso me ho tazgi.

Chndni ho chand ki.

Rani ho raat ki.

Khushbu ho gulab ki.

Baten kre pyar ki.

Nazuk ho mizaj ki.

Ache ho ikhlaq ki.

Paband ho namaz ki.

Khidmat kre maa bap ki.

Aur kahey main hoon sirf aap ki
Lakeer Merey Haath Ki..

kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer.. !
roth gaya hai mujhko manane wala.
ab koi nahi naaz mere uthane wala.
per jaane kiya sochta hai ye khulla darwaza.
shayad rasta bhool gaya aane wala.
Ijzaat hai tumhy chord kr jane ki mujhe.

Jana

jate lamhe khuda k lye rukh se niqaab na hatana.
Terey Chehrey K Naqoosh Aisey Hain
Aankh Uthata Hoon! Bhatak Jata Hon
Teri Aankhon Se Terey Honton Tak
Safar Itna Hai Keh Thak Jata Hoon