Wo to majborioon

Wo to majborioon
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti Per
Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
  

Jun, 03 2010     586 chars (4 sms)     3324 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Qissa abhi hijaab say aagay nahin barha...

Mein aap, wo, janab say aagay nahin barha...

Muddat huee kitaab-e-muhabbat shuru kiye...

Laikin mein pehlay baab say aagay nahin barha...

Lambi musafatein hain magar is swaar ka...

Paaon abhi rakaab say aagay nahin barha...

Logon ney sang-o-khisht k qilay bana liye...

Apna mehal to khawab say aagay nahin barha...

Tool-e-kalaam k liye mein ney kiye sawaal...

Wo mukhtasar jawab say aagay nahin barha...
Main Teray Ishq ki inteha chahta hoon.


Meri sadgi dekh kiya chahta hoon.
Kis ehad ki batain karte ho
kab kon kisi ka hota hey
Kub kon kisi ki Chahat main
Yun Zehar ka Sagar peeta hey
Ye Hijr,Murawat Mehr-o-wafa,
Sub Rasmi Rasmi Batain hain,
Her Shakhs Khudi ki Masti main,
Bus Apni Khatir Jeeta Hai :)
Tairay khayaloo say fursut nahe milte.

Aik pul k liye hamain raahut nahe milti.

Yon to sub kuch hamary pas hay.

bus daikhnay ko aap ki "surut" nahe miltee.
Itni Si Baat Pay Dil Ki Darhkan Hi Ruk Gai........



Ik Pul Jo Tasawur Kia Us K Baghair Jeenay Ka.......
ehsas tu hai mujhe uski muhabat ka mohsin...

per wo mujh se nazrain chura ker guzrta kaoun hai.
Nighahen raasta dekhain tumhara lot aao na,
tumharey bina nahi hota guzara lot aao na,
bichar k yar tujh se zindagi pal pal tarapti hey,
k tum bin ab nahi jeena gawara lot aao na,
mujhey dar hai k in tanha'aeyon mey toot jaoon na,
hey bus teri mohabat ka sahara lot aao na,
tum he to zindagi ho piyar ho dunya hamari ho,
siwa terey nahi koi hamara lot aao na.
Kal jo hume hassen or sub se payra lagta.

aaj wo hi qatil-e-jaan sub se bura laga.
"Phool Chunte Waqkt Kaanto Pe Bhi Nazar Rakhna
Muhobaat Mei Mom Ka Dil Aur Patthar Ka Jigar Rakhna"
Mere Wajud Mein Wafa Ki Roshni Utaar De Phir Itna Pyar De K Mjhko Chahton Mein Maar De Bohat Udas Tha, So Uth K Tere Pas Aa Gaya Kuch Aisi Baat Kr Jo Dil Ko Chain De Qraar De Suna Hai Teri Ik Nazar Sanwa rti Hai Zindgi Jo Ho Skey To Aaj Meri Zindgi Sanwar De
A Mahtaab Tu Kbi Jo Mera Chand Dekh Le
Qasam KHUDA Ki Apni Jan Tu Bhi Us Pr Waar De Mera Asaasa-E-Hayat Chin Gaya Hai Doston Do Chaar Din Ki Zindgi Koi Mujhe Udhaar De...
Tu Dekh Ya Na Dekh Tere Dekhne Ka Gham Nahi
Par Teri Ye Na Dekhne Ki Ada Dekhne Se Kam Nahi
Satao Ge Humko,

Rulao Ge Humko,
Magar Kis Tarah Bhula Paoge Humko.

Allah Jane Kya Haal Hoga Tumara,

Jab Kafan Mei Lipta Hua Paoge Humko