Nazar Milaakai Kabhi

Nazar Milaakai Kabhi
Nazar Milaakai Kabhi Muskura kai loot liya
Us Bevafa ne Mughe Muh Chupaa kai loot liya.

Qarib Ah Kai Kabhi Door jakai loot liya
Fareb say Kabhi Mugh ko bataa kai loot liya.

Yoo Tou Dil Chehrah Dikha Kai loota jata hai
Hamein Tou us ne magar sir jhuka kai loot liya.

Shikvah ye nahin ke loot liya kisee ne hamein
Malal ye ke sata sata kai loot liya.

Qasam Khuda Ki, NAAZ,unki bandage kar loo
Agar kisi ne hamein paas ah kai loot liya.
  

Jun, 05 2010     450 chars (3 sms)     2322 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Apni Kharabiyo’n Ko Pas-E-Pusht Daal Kr…

Har Shakhs Keh Raha Hy Zamana Khrab Hy…
Swab samjh k wo dil k tokry karta ha mohsin
gunah samj k hum un say gela nahe karty
Do Ghari neend Sula do
Mujhko

Ek naya khawab dikha do
Mujhko

Na pohanch paon mein
Chalte chalte

Aisi manzil ka pata do
Mujhko

Zindagi talkh hui jati hai

Ab na jeene ki Dua do
Mujhko

Yun Hi kam hogi jalan
Aankhon Ki

Tum Zara aur rula do
Mujhko

Jurm to koi na Saabit
Hoga


Be-Gunahi Ki Sazza Do
MUJHKO...!!!
Kaash !!

Woh Jab Bhi Mujh Say Milti Thi
Har Baar
Ekk Masoomiyat Say
Poocha Karti Thi
Ke Tum Mairey Hi Ho Na?
Aur Main Har Baar
Uss Ke Chehrey Ko Choo Ke
Qasam Khaya Karta Tha
Par Kaash!!!
Mainey Aik Baar Hi Uss Say Poocha Hota
Ke
Tum Mairi Hi Ho Na???
Wo Aksar Mujh Se Kehti Thi..
WAFA HAI ZAAt AURAT KI...

Mager Jo Mard Hotay Hain,
Boht Be'dard Hotay Hain,
Kisi Bhanwray Ki Surat Gul Ki Khushbu Loot
Jatay Hain..

Suno.!
Tum Ko Qasam Meri,

Rawayat Torr Dena Tum,
Na Tanha Chhorr K Jana,
Na Ye Dil Torr K Jana,
Mager Phir Youn Hua Mohsin.!
Mujhe Anjaan Rastay Per,
Akela Chhorr Ker Us Ne,
Mera Dil Torr Ker Us Ne,
Mohabat
Chhorr Di Us Ne,"WAFA HAI ZAAT AURAT KI ,"
Riwayat Torr Di Us Ne....
jhoot ehsas ki qandeel ko bujha deta hai
mujhe INSAN samjh khud ko farishta na bana
apni yaden tu mere dil main rehne de
is mehkte hue gulzar ko sehra na bana
her ik mausam main roshni si bekhairtey hain sagar

tumharey ghum ke charagh meri udasiyon main.
Tanha Samjh raha hai mere DiL K0 Chara Gar

dunia basi hy is main kisi k khayal ki
Zara Si Baat Dair Tak Rulati Rahi,

Khushi Main Bhi Ankh Ashk Bhati Rahi,

Koi Mil K Kho Gaya, Koi Kho K Mil Gaya,

Bas Zindagi Humein Aisay He Azmati Rahi
Mere Qareeb Raha Phr Bhi Mujh Ko Parh Na Ska
Mera Wajud Tou Mehfuz Ik Kitab Main Tha
Khula Jo Nama-E-Amal Hasher Me Mara
Bus Ek Jurm-E-Muhabbat Mere Hisab Main Tha!
Uss ne khat meiN
Ishq ka matlab poochh liya hay
Mainay likha hay!
Jab koi chehra
Dhiyaan meiN aa kar
Mann aangan meiN phool khilaa day
Jab koi naam laboN ko chhoo kar
DharrkanoN ko tarteeb bhulaa day
Jab koi jazba kaar-e-junooN say
Aatish ko gulzaar bana day
Lekin itna dhiyaan meiN rakhna
Koi siraat-e-ishq say guzray tab khultaa hay
Ishq say pehlay ishq ka matlab kab khultaa ha
Tark-E-Taluq Ki Pahel Mein ne Ki
Chahta To Wo Tha Magar Us Mein Hosla Na Tha
Chorne Ka Faisla To Roz Kerta Tha WO Magar
Meri Wafa K Aage Uska bas Chalta Na Tha