Humay koi ghum nahi tha

Humay koi ghum nahi tha
Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley
  

Jun, 07 2010     388 chars (3 sms)     2336 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Aansu nahi thamte
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha

Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha

Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha

Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha

Aey kaaaaash koi jaa ke usse pooche
Yahan kis ke sahare pe mujhe chor gaya tha...
Tere Siwa KHUDA Ne Bohat Kuch aata Kia
Tujhko Na-Jane Kis Liye Mujhse Juda Kia
Wo Zindagi Jo Phool Se Zada Haseen Thi
Teri Talab Mein Humne Usey Bhi Khafa Kia
Wo kehti hai batao main tume kyun bhaa gai akhir?main kehta hon meri jaan Hadsay to aksar ho hi jatay hain.
Khwaab Aur Haqeeqat Main

Farq Shayad Itna Hai

Khwaab Toot Jaata Hai

Haqeeqat Tod Deti Hai ....!!
Is desh mein pariyon ki kahani bhi khoob hai







bachche ko usne fir bhookha sula diya
Hathelii
Duwa to janey
kon se thi zahain mai nahi
bas itna
yaad hai k
do hateliyan mile hoyee thi
jin mai say
ek MERI thi OR ek TUMHARI
Mudat k baad us ne ki jo lutf ki nigaah


Dil khush to ho gya magr ansoo nikal paray,
Is hawa me khushbu hai tumhari,
is chand ki roshni me surat hai tumhari.

Is dil sey jo mar kar b juda na ho sakay
woh sirf aur sirf dosti hai tumhari.

WO Ajnabi Hai Jane KAb Chor De
Hawa Ka Kia Pata kab Rukh Mor De
Ham TO Dosre Ka Dil Khush Rekhte Hain
Magar Dosre Ka Kia Pata Kab Dil Torr De
Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ?

In Fazool Baato''n Main

Kis Liye Ulajhte Ho ?

Jis Ko Milna Hota Hy

Zindagi K Rasto''n Par

Saath Saath Chalta Hy

Phir Kahan Bicherta Hy

Jo Nahi Muqaddar Main

Kab Humain Wo Milta Hy ?

Kab Wo Saath Chalta Hy ?

Haath Ki Lakeero''n Main

Kia Talash Kerte Ho ? ? ?
Baroz-e-Hashar me
be-khof
ghuss jaon ga JANNAT mein,

Wahin sy aaey thy "AADAM" wo mery baap ka ghar hy.

(ALLAMA IQBAL)
wo roye to bht pr mjse moo mor kr roye,

koi majburi hogi jo dil tor kr roye,

mere samne kr diye meri tasvir k tukre,

pta laga mre piche wo unhe jor kr roye!.