dard ka kard is kadar

dard ka kard is kadar
dard ka kard is kadar hei ki,
aankhein num rehti hein
kuch aansu jo humne bahaye hi nahi
or aapne sumjha hum kabhi roye he nahi
aap puch rahe the kuch meri nind ke baare mein
or ik hum hein ik umer se soye hhi nahi
tere intezaar mein jo saanse li hein ab tak
har saans ka dard kuch is kadar hei ki
tujhe pani ki koshish thi tjhe khone ka gumm hei
teri yaad mein ye aankhein barson se numm hein
  

Jun, 07 2010     403 chars (3 sms)     2872 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

yehi naasih jo hamein tujh se na milney ko kahain
tujh ko dekhain to tujhey dekhney aaney lag jaaein

qurb achha hey magar itni bhi shiddat se na mil
ye na ho tujh ko merey rog puraanay lag jaaein
kuch Nahi chaiye Tujhse Aye meri Umre rawaan





mera Bachpan mera jugnoo meri Gudiya la de
Tum Bhala kiya Humain manzil ki Basharat Do GY





Tum To Rasta Bhi Nahi Dete ho Chalne k Liye
Pyar me mila har gum uphar hota hai,
pyar wo hota hai jisme intjar hota hai.
Sadiyon tak intjar karte hai wo
jinhe apne pyar pe aitbar hota hai.
Sukun-e-Qurb Me Utro
Tou Yaad Kr Lena

Kbhi Jo Tuut k Bikhro
Tou Yaad Kr Lena

Khushi k Waqt Me Chahe
Hume''n Bhula Dena

Ghamon ki Rah Jo Dkho
Tou Yaad Kr Lena
Agar Ham Dost Hotey
To Karam Ki Inteha Kartey
Tumhen Palkon Pey Rakhtey Ham
Tumhen Dil Men Basatey Ham
Agar Tum Rooth Jaatey To
Tumhen Kitna Manatey Ham
Jo Milney Tum Nahi Aatey To
Aa kar Khud Tumhen Miltey
Tumhari Larhzishon Ko Bhi
Hansi Main Ham Ura Detey
Agar Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detey
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Agar Ham Dost Hotey To
Yeh bhi saach hai ke nahi koi rishta tujh se...
Jitni umeedein hain wabasta hain tanhan tujh say....
Yeh alag baat tujhey toat ke chaha laykin....
Dil bemaya nain kuch bhi nahi chaha tujh say..!!
Bohat Udas Hai Koi Shaks Tere Jane Se
Ho Sake To Laut Aa Kisi Bahane Se
Tu Laakh Khafa Sahi Magar Ik Bar To Dekh
Koi Toot Gaya Hai Tere Rooth Jane Se
Mujhko Ruswa Sar-E-Mehfil To Na Karwaya Kare,
Kash Aansu Meri Aankhon Mein Hi Reh Jaya Kare,

Aye Hawa! Maine To Bas Unka Pata Puchha Tha,
Ab Kahani To Har Baat Ki Na Ban Jaya Kare,

Bas Bahut Dekh Liye Khwab Suhane Din Ke,
Ab Wo Baaton Ki Rifaqat Se Na Behlaya Kare,

Ek Musibat To Nahi Tooti So Ab Is Dilse,
Jis Kayamat Ne Guzarna Ho Guzar Jaya Kare,

Jiske Khwabon Ko Main Aankhon Mein Saja Kar Rakhun,
Iski Khushbu Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Kare...
mujhay itna tou bata dou keh meray janay k baad
mujhay yaad kiya kertay tou ho na
woh baaton he baaton mein meri baat aanay say
mera khayal tum dil mien latay tou ho na
chamun, gulzar, baghaat bhi koi sajata he
in me kalion aur phoolon ki mehfil khuda lagata he
in kalion aur phoolon se barh kar tum sahi
bhala itna chahnay wale ko bhi koi tarpata he..
usne shugfuta mazaji ko naya mor deya.
mujh ko paaband-e-zanjeer kua or chor daya.
us ne aanchal se nakali meri ghum gasta kitaab.
or chupke se mhubat ka waraq mor daya.