Mujhay tum yaad aatay ho

Mujhay tum yaad aatay ho
Mujhay tum yaad aatay ho

Muqaddar k sitaaron per

Zamaaney k ishaaron per

Udaasi k kinaaron per

Kabhi veeraan sheyhron mein

Kabhi sunsaan raston per

Kabhi hairaan aankhon mein

Kabhi be-jaan lamhon per

Tumhaari yaad chupkey se

Koi sargoshi kerti hai

Yeh palkain bheeg jaati hain

To aansu toot girtey hain

Hum palkon ko jhukatay hain

Ba-zaahir muskuratey hain

Faqat itna hi kehtay hain

Mujhey kitna satatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho

Mujhey tum yaad aatey ho...!
  

Jun, 03 2010     512 chars (4 sms)     6237 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

"Kal Raat Sapny Me Teri Tasweer Bna Dali,

Itni Achi Lgi K Seeny Se Lga Dali,

Kisi Ki Nazr Na Lagy Mery Yaar Ko,

Is Liye Aansu''on Se Khud He Mita Dali"...!

Kya faaida hua hai ab intezaar karke
Gardish mein aagaye hai..Hum tumse pyar karke
Iss daur mein Wafa ka..Hum karobaar karke
Sunnat nibha rahe hai..Dushman se pyar karke
Sheher-E-Khayal-O-Khuwab Mein Abad Ho Gaya,

Itna Usay Parha Ke Mujhay Yaad Ho Gaya,,

Main Aaj Tak Hoon Jis Ke Fareeb-O-Hisar Main,

Wo Aur Hi Kisi Ka Mere Bad Ho Gaya,,

Aandhi Hawa Ka Saath Nibhanay Ke Shok Mein,

Koi Tabah Hua'' Koi Barbad Ho Gaya,,

Apni To Sari Umr Aseeri Mein Kat Gayi,

Jis Ne Bhi Haar Maan Li'' Azaad Ho Gaya,,

Pehlay To Paaniyon Se Rahi Guftagu Meri,

Phir Youn Hua Ke Aaina Eejaad Ho Gaya . . . /
Tum is sheher se jaane lago to

meri aankhain lete jaana

safar mai koi saath rahe to

rasta jaldi kat jaata hai
Mana K Bura Hon
Magr Itna B Nahi

Kuch Nazron Se Gira Hon
Magr Itna B Nahi

Koi Koshish To Kare Mujhe Samaitne Ki

Main Toot K Bhikra Hoon
Magr Itna B Nahi
"Abhi Hasna Sikha Hi Tha,

Ki Rulane Wale Bhi Aa Gaye"

"Duniya Walo Ki Mohabbat To Dekho,

Abhi Hum Thik Se Mare Bhi Nahi

Or Jalane Wale Bhi Aa Gaye....."
tu kia hum rooh me me bhi utrey howe hain,

tum ne chaha hi nahi chahne walon ki tarha.
Zabt kerta hon to her zakham laho deta hy

Ah kerta hon to andesha-e- ruswai hy

Dkhta hon to hazaron se shanasai hy

Sochta hon to wahi gham wahi tanhai hai.
Itni Si Baat Pay Dil Ki Darhkan Hi Ruk Gai........



Ik Pul Jo Tasawur Kia Us K Baghair Jeenay Ka.......
"Dasht_e_Karbala Me Khara Soch Raha Tha ISLAM,


Faida Kya Howa Kafir Ko MUSALMAN Kr K."

(ALAMA IQBAL)
Duniya mein kisi se kabhi pyar mat karna,
Apne anmol aansoo iss tarah bekar mat karna,
Kaante to phir bhi daman tham lete hain ,
Phulon pe iss tarah kabhi aitebar mat karna..

Teri bewafaayi ka kissa jab jab yaad aayega
mere tan badan mein ek aag si bharkaayega
jo tu ne kiya koi dushman bhi nahin aisa karta
dekh lena ek din tu bhi bohat pachtaayega