kehta hi raha tujhse

kehta hi raha tujhse
kehta hi raha tujhse k piyary nahi achay
her waqt yeh palkon pe sitare nahi achay

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

un hi se tu abad hai yeh shahar-e-mohbat
kehte ho jinhain dard k maray nahi achay

es shaher mein tera bhi koi jurm tu hoga
ilzaam meri zaat pe saray nahi achay

aise tu parindon ki yeh hijrat nahi hai
lagta hai k mosam k ishaaray nahi achay
  

Jun, 03 2010     421 chars (3 sms)     2264 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

zaalim tha wo or zulm ki adat b boht thi,
majboor te hum bus se mohabat b boht thi,

Waqif hi na tha rasm-e-mohabat se wo warna,
Dil k liye thori c inayat b bohat thi.
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,

Teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,

Jis pe likha tha ki tu mere muqaddar me nahi,

Apne maathe ki woh tehreer mita li maine ......;->
Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
Tere Sath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki
Tu Dil Ke Aur Karib Aane Laga
Hum Se Na Ho Saki Mohabbato''n Ki Numaish

Bas Itna Jante Hyn K Tmhain Chahte HYn Hum
~*~ Phir Yaad Aane Lage ~*~



Muddato''n Baad Dekha Unhai''n,
Hosh Kaise Thikaane Lage

Ashk Palko''n Pe Aaye Meri
Aur Lab Thar-tharane Lage

Jaane Ksei Hawa Chali
Phool Phir Muskurane Lage

Jin Ko Mushkil Se Bhoolay Thay Hum
Phir Wohi Yaad Aane Lage
Main Khush-Naseebi
Hoon Teri, Mujhy Raas
Hy Tu
Tera Libaas Hoon Main
Aur Mera Libaas hy Tu

Zindagi Meri Tere Gird
Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan
Mere Liye Ek Khaas Hy Tu

Ajeeb Shai Hy
Mohabbat Main Kahin
Chala Jao''n
Tere Qareeb Hoon Main
Meri Pyaas Hy Tu ... !!!
Main Thak Gayi Hoon Jana''n
Kandho''n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino''n Ki Yaadai''n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana''n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto''n Se Bhar Chuke Hain
Kanto''n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo. . . !
mujhse ki musaafir ne raastay mein sargoshi

kabse dhoondta hon mein, aur khuda nahi milta
YEH
KIS
NE
HAM
SE
LAHO
KA
EHRAAJ
PHIR MANGA


ABI TO SOEY THAY SAR-E-MAQTAL KO RURKHARU KAR K
Baatein aisi karo ke jazbaat kabhi kam na ho;
Khayalat aise rakho ke kabhi ghum na ho;
Dil me apni bas itni se jagah dena hume;
Ke khali-khali sa lage jab hum na ho
Pyar ho ya dosti ho
Inme wafadaree ki koi baat nahin hoti
Inme to bus ehesas hoten hey
Jinme bewafaee ke liye koi jagah nahin hoti…
Uski Yaadon Main Us ki Baaton Main
Kahi''n mera Aks Bhi jhilmilata Ho ga
Laakh Masroof Sahi Apne Kaamo''n Main
Phir bhi Humain Soch Ker Kabhi to Muskurata hoga