Main nye soraj sye mohabbat ki
to woh ghoroob ho gaya
Chand sye mohabbat ki
to woh chhoop gaya
Janwar sye mohabbat ki
to woh samjh na saka
Insan sye mohabbat ki
to woh wafa na ker saka
Akher mohabbat kia hye ?
muhabat woh hai jiska sooraj hamesha chamakta hai
muhabat woh hai jiski jaban janwar bhi samajhtey hain
muhabat woh hai jo insaan ko muhabat ki qabil banati hai
muhabat ye sab hai aur sirf muhabat
Mein chahta hee na tha lajawab kerna tumhein
Werna jawab mere pas her sawal ka tha
Tumhari jeet se humy khushi hoti hai
Yehi jawaz mere pass apni haar ka tha