Wafa jab maslehat ki shawl orhe

Wafa jab maslehat ki shawl orhe
Wafa jab maslehat ki shawl orhey
Sard raat ka roop dharey
Dil ke aangan main utarti hey
To palkon par sitaaron ki dhanak muskaaney lagti hey
Kabhi khwabon ke an-chuey heowlon sey bhi
An-dekhi si anjaani si khushboo aaney lagti hey
Kisi ke sang beetey, an-ginat lamhon ki zangeerain
Achanak zehan main jab gungunaati hain
Nafas ke taar main sannata sa yakdam cheekh uthta hey
To yun mehsoos hota hey
Hawayen aa ker sargoshi karti hain
"Mohabbat ka tumhain idraak ab to ho gaya ho ga?"
Ye jo bhi zakhm deti hey, kabhi seeney naheen deti
Mohabbat rooth jaaye to, kabhi jeeney naheen deti..
  

Jun, 05 2010     600 chars (4 sms)     3214 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

nend aati hi nahi aankhon ki dehlizon tk
khali reh jata h aksar ye makan sham ke bad
Ishq ke izhaar mein har chand ruswaai to hai
Par karoon kya ab tabiyat aap par aayiee hai
Ghum Nahi Bholta Bhulanay Say“
Num Hoe Ankhayen Muskurany Say
Aaj Woh Ajnabi Say Lagty Hain
Jante Houn Jisay Zamany Say
Doston Ki Parakh Nahi Kerna
Maan Totay Gaa Azmany Say
Jab Say Apno Say Chaut Khaye Hai
Koi Shikwah Nahi Zamanay Say
Zindagi Ki Haqeqaton Ki Kasam
“Dil Ki Batyen Hain Bas Fasanay Say “
Yade aansu hoti to jhalak jati,
Yade likhawat hoti to mit jati,
Yade to zindgi me basa wo ehsas h jo lakh kosiso k baad b labjo me nhi simat
pati....
Uftadgaan-e-khaak ke imdaad k leay...
Ek nemat-e-khuda tha janam benazir ka...

Koe rukawat es k leay sud-e-raah na the...
Rukta na tha kahen b qadam Benazir ka...

Ufkaar us k nayar-e-tabaan se kam na they...
Chehra tha maah-e-chaar dahum Benazir ka...

Logon ko us ke baat ka kamil yaqeen tha...
Qaim Khuda rakhay ga bharam Benazir ka...
Mizaaj-e-waqt ki kab tak haqaratein sehti,

ana shanas thi wo to kab ki mar gai
ho gi.
Suno
Kisi Ne Sach kaha Tha Ye
Mohabat Maar Nahi Sakti
Magar
Adhora Sach Suna Humne
Mukamal Sach To ye Hai Ke
Mohabat Khud Nahi Merti
Mohabat Maar Deti Hai
use maloom hai meri is halat ka kon hai shakhs..

Per bhi mujh se kahta hai koi parshani tu nahi.
Na thi jis ko mere pyaar ki kadar,

Ittefaaq se usi ko chah rahe they hum,

Usi diye ne jalaya mere hathon ko,

Jisko hawa se bacha rahe the hum.
Usey Kehna!!
Agar Aye tO
Sath Aapney
Koi Jugnoo, Koi Taara Bhi Le Aaye!
k Mera Dil......
Merey Ghar ki Tarah
Tareek Rehta Hai....!!
Kahan se aati hai Hichkiya,

kaun Fariyad karta hai.

Khuda usey Hamesha Salamat rakhe,

Jo HUME pyar se yaad karta hai.
Ta''aluq Baad Main
Tabdeel Ho Kr Jo Bhi
Reh Jaaye

Mohabbat Main Wo
Pehla Muskurana
Yaad Rehta Hy !!!