jab tak hamaare paas

jab tak hamaare paas
Kuch iss adaa se aaj wo pehlu-nasheen rahe
jab tak hamaare paas rahe hum nahin rahe

imaan-e-kufr aur na duniya wa deen rahe
ae ishq shaadabaash ki tanha hameen rahe

ya rab kisi ke raaz-e-mohabbat ki Khair ho
dasht-e-junoon rahe na rahe aasteen rahe

jaa aur koi zabt ki duniya talaash kar
ae ishq hum to ab tere qaabil nahin rahe

mujh ko nahin qubool do aalam ki vusatein
qismat mein ku-e-yaar ki do gaz zameen rahe

dard-e-gum-e-firaaq ke ye sakht marhale
hairaan hoon main ki phir bhi tum itne haseen rahe

iss ishq ki talaafi-e-maafaat dekhna
rone ki hasratein hain jab aansu nahin rahe.
  

Jun, 05 2010     613 chars (4 sms)     2887 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

aa bhii jaao kii zindagii kam hai
tum nahii.n ho to har Khushii kam hai

vaadaa kar ke ye kaun aayaa nahii.n
shahar me.n aaj raushanii kam hai

jaane kyaa ho gayaa hai mausam ko
dhuup ziyaadaa hai chaa.Ndanii kam hai

aa_iinaa dekh kar Khayaal aayaa
aaj kal un kii dostii kam hai

tere dam se hii mai.n mukammal huu.N
bin tere terii ''Yamini'' kam hai
Dil hona chahiye jigar hona chahiye,

Aashiqi ke liye ek hunar hona chahiye.

Nazar se nazar milne par ishq nahi hota,

Nazar ke us paar bhi ek asar hona chahiye.
Ulfat Me Kabhi Yeh Haal Hota Hai
Aankhe Hasti Hain Aur Dil Rota Hai
Maante Hain Jinhe Hum Manjil Apni
Humsafar Uska Koi Aur Hota Hai!
Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai
kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do

sab baatein dil ki keh dein ager
phir baqi kya reh jaye ga.......
sab baatein dil ki sun lein ager
phir suny ko kya reh jye ga

kuch baatein unkehi rehny do
kuch baatein unsuni rehny do
kahan aa kar rukay thay rastay..kahan mour thaa ussay bhool ja
woh jo mil ghaya ussay yaad rakh, jo nahin mila ussay bhool ja

woh teray naseeb ki barish kisi aur chhat pay baras ghaee
dil-e-baykhabr mere baat sun ,ussay bhool ja ussay bhool ja

main tou gum thaa teray dhiyaan main,tere aas main teray ghuman main
saba keh ghaee meray kaan main ,meray paas aa ussay bhool ja..

kisi ankh main nahin aske-eghum,teray baad nahin kuch bhee kam
tujhay zindaghee nai bhula diya,tu bhee muskara, usaay bhool ja...

na woh ankh he tere ankh thee, na woh khawab he tera khawab thaa
dil-e-muntazir tou yeh kis liyay,tera jaghna ussay bhool ja..
laboN pe phool khiltay haiN kisi ke naam se pahle
diloN ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiN pata
kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle

hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge
ab in ko kis tarah rokaiN nawaah-e-daam se pahle

ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle

huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham
sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle
Shayad Iss Nay Mujh ko Tanha Daikh Lya Hey
Dukh Nay Meray Gher ka Rasta Daikh Lya Hey

Apnay Aaap Say Ankh Churata Phirta Hoon
Aaiinay Mein Kiss Ka Chehra Daikh Lya Hey

Us Nay Mujhay Darasal Kabhee Chaha Hee Nahin Tha
Khud Ko Day Ker Yeh Bhi Dhoka! Daikh Lya hey

Uss Say Miltay Waqt Ka Rona Kuch Fitree Thaa
Uss Say Bicchar Janay Ka Nateeja Daikh Lya Hey

Rukhsat Kernay Kay Adab Nibhanay They
Band Ankhon Say Us ko Jata Daikh Lya Hey
Uss main Baat Hi kuch Aisi thi Dost,

Agar dil na Detey to Jaan chali Jati..
Husool-a-Deed se mashroot kb hai Jazba-a-Dil,

Mujhay to Pyar Teray Naam pr b aata hai,

Main Hijr-o-Wasl ki Haad se Guzar Gaya Shayed,

Tu Samnay B nahi or Nazar B aata hai..
Tere sheher main sham hoti ja rahi hy
zindagi ilzam hoti ja rahi hy
WO to ab bi azad hy muhabbat se lakin,
Meri har saans us ki gulam hoti ja rahi hy.
Lafzon ki tarah tu mujh se kitabon mai mila kar Duniya ka tujhe dar hai to khawabon mai mila kar Phuloon se khushbu ka taaluq hai zaruri. Tu mujh se mehak ban k gulabo mai mila kar...