Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

Bus ik zara khayal is dosti ka tha,
Bus ik zara khayal is dosti ka tha,

warna bohat gila teri berukhi ka tha,

mujhko laga me bhi teri zindagi mei hoon,

per yeh to koi dokha meri saadgi ka tha.
  

Jun, 03 2010     166 chars (2 sms)     2830 views       Urdu Poetry

more Urdu Poetry SMS Messages

Khaamoshii kah rahii hai kaan mein kyaa
aa rahaa hai mere gumaan mein kyaa

ye mujhe chain kyuuN nahiin partaa
ik hii shaKhs thaa jahaan mein kyaa
Main Qaasid Kis Terha Bhejoo''n

Main Khud Hi Tum Sy Mil Loonga

Tumhai''n Jo Dekh Leta Hy

Tumhara Ho Hi Jata Hy ... !!!
Woh Ek Shaks Jo Hamein Zindagi Say Piyara Hai
Baghair Us K Veraan Ye Jahan Sara Hai

Woh Nahi Janta K Uski Zaat Kiya Hai
Wohi Tu Hai Jo Muhabbat Ka Ek Sitara Hai

Yehi Tu Ada Hai Jisney Hamein Mara Hai
Woh Kiya Tha Kiya Hai Kiya Hoga Kiya Khabar
Yehi Pata Hai Woh Jesa Bhi Hai Bas Hamara Hai
M o h a b b a t

Mohabbat Ek Shajar Hy

Aur Shajar Ko Is Sy Kia Matlab

K Is Ki Chhao''n Main Koi

Thaka Hara Musafir Aa k Betha Hy

Ab Is Ka Rung Kia Hy ?

Nasal Kia Hy ?

Kahan Sy Aaya Hy ?

Isay Kis Simt Jana Hy ?

Shajar Ka Kaam Tou Bas

Chhao''n Dena Aur Dhoop Sehna Hy ..
hum guhegar hain
humko saza dy do
bus mout ajae
itni se dua dy do...
Suno....
Tum nay Suna Hai Naa K Judai Muhabbaton Ko Barha Daiti hai....
Hum Alag Nahi hain...
Yaqeen Karo Humare Dil Aik Doojay K Seeno Mein Dharaktay hain......
Humari Rooh Aik hai......

Suno....Jab Dil Bohat Baychain Ho Tou...Samajh Laina
Mere Dil nay Tumko Yaad Kiya Hai.....

iK Lamhay Ko DiL Pay Haath Rakhna Aur Mera Naam Laina......
Mere Baychaini Ko B MeeT* Aese Hee Qarar Ata Hai.....
Tumhari Yaadon Ki Barf Baari Ka Mosam..

Sulagta Raha Dil K Anndar Akaily..


Socha Tha jee Laingay Tujh Se
Bichhar k..

Guzrta Nahi Bus Ek December Akaily ;->
Shab-e-Tanhai
Usey Kehna

Humari neend Laut
Dy
Humara Chain Lauta
Dy
k
Uski Yaad Me
Be-hadh Aziyat Hy

Ya Apne Naqsh Dho
Jaye

Ye Phir !

"MERA HO JAYE"
Aaj ghum-e-tanhai mia koi meri ankhon se ansuon k sath gir rha hai...

agar wo shakhs bhut azeez hai tumhe tu un ansuon se bujha lo apni payas...
dard apanaataa hai paraa_e kaun
kaun sunataa hai aur sunaa_e kaun

kaun doharaa_e vo puraanii baat
Gam abhii soyaa hai jagaa_e kaun

vo jo apane hai.n kyaa vo apane hai.n
kaun dukh jhele aazamaa_e kaun

ab sukuu.N hai to bhuulane me.n hai
lekin us shaKhs ko bhulaa_e kaun

aaj phir dil hai kuchh udaas udaas
dekhiye aaj yaad aa_e kaun
Chadni Raat Ka Mizaaj Mat Poch
Hum Garebon K GhaR Nahi Aati
Neend Bhi Ab Maut Ho Gaye Hai

FARAZZ

Bewafa Raat BhaR Nahi Aati
Aap Ko Chaah Kar Kuch Na Chaaha Kabhi,


Meri Chaahat Ka Kuch To Silaa Dijiye,


Phool Murjhaa Gaye Aap Ki Chaah Mein,


Muskura Kar Unhein Phir Khilaa Dijiye.